0% found this document useful (0 votes)
638 views1 page

Hikmat Ki Batain

1. Pride leads to ingratitude as people see themselves as more deserving than what they have received from God. This causes constant ingratitude. 2. Gratitude is a quality of the saints of God. When there is no gratitude, ingratitude arises. The proud are always ungrateful while the grateful are always humble. 3. One should see themselves as a servant of God, then see how prayers are accepted. Seeing oneself as deserving of respect leads to not truly being deserving. This is why God humiliates such people everywhere.

Uploaded by

navidacca
Copyright
© Attribution Non-Commercial (BY-NC)
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
638 views1 page

Hikmat Ki Batain

1. Pride leads to ingratitude as people see themselves as more deserving than what they have received from God. This causes constant ingratitude. 2. Gratitude is a quality of the saints of God. When there is no gratitude, ingratitude arises. The proud are always ungrateful while the grateful are always humble. 3. One should see themselves as a servant of God, then see how prayers are accepted. Seeing oneself as deserving of respect leads to not truly being deserving. This is why God humiliates such people everywhere.

Uploaded by

navidacca
Copyright
© Attribution Non-Commercial (BY-NC)
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 1

NA SHUKRI KA SABAB KIBR HAI.

INSAN APNAY KO BEHTAR AUR ZYADA KA MUSTAHIQ SAMAJHTA HAI US K MUQABLAY MAY JO MIL RAHA HAI, ISI WAJA SE HAR WAQT NA SHUKRI KARTA REHTA HAI. AUR IS NA SHUKRI KA NAQAD AZAB YE HOTA HAI K DIL HAR WAQT IS DUNIA.E.MURDAR KI KHATIR GHAMGEEN REHTA HAI. QANAAT AULIA ALLAH KA WASF HAI. JAB QANAAT NAHEE HOTI TO NASHUKRI HOTI HAI. PHIR ADMI HIRS K MARZ MAY MUBTILA HO JATA HAI. JAB HIRS ATI HAI TO MASHGHOOLIAT BARHTI HAI, PHIR AMAL KAM HOTAY HAIN,AUR PHIR GUNAH HONAY SHURU HO JATAY HAIN. HZ THANVI R.A. NE FARMAYA K HAREES ADMI ZALEEL.O.KHUWAR HE REHTA HAI.(ZALEEL LOGO KI NAZAR MAY AUR KHUWAR KHUD REHTA HAI)

Shukar aur kibr may tazaad hai. Shukr may ye hai k jo mil raha hai ay Allah aap ki inayat hai, warna is ka bhee mustahiq na tha, aur mutakabbir na.shukra hota hai ka jo mil raha hai mai us se zyada ka mustahiq or ehl hun. Isi lye mutakabbir na.shukra hota hai aur har shakir mutawaze hota hai. Shukr se Allah ki muhabbat barhti hai, isi lye kibr ka ilat ishq hai aur us ka tareeqa shukr hai, aur shukr se tawazo paida hoti hai aur nemat may izafa alag!

1.Apnay ko Allah k supurd karo, phir dekho kesay duain qubool hoti hain. 2. Jo apnay ko izzat ka mustahiq samajhta hai, wo izzat ka mustahiq he nahee. Yehi waja hai ke esay banday ko Allah tala har jaga ruswa kartay hain. Lihaza tawazo Allah lye ikhtiar karay apnay ko kuchh na samjhay, tawaqqo tazeem kin a rakhay makhlooq se aur jo kaam karay Allah ki riza ki niat karay takay ikhlas paida ho aura mal bhee ba-lutf ho jaey .

Jo Allah k lye tawazo ikhtiar karta hai Allah us ko bulandi ata farmatay hain, lekin amal bulandi hasil karnay k lye nahee balkay sirf Allah k lye ho phir chahay log izzat.o.ikram karain ya na karain. Parishani hoti hai khalaf.e.tawaqqo se aur ehlullah ne to apni tawaqqoaat ko har ik se khatam kar dya, makhlooq se tazeem ki tawaqqo he na rakhay, kyun k agar khilaf.e.tawaqqo kya to parishan ho ga. Izzat wali zaat to sirf Allah Rub.ul.izzat ki zaat hai. Logon ki malamat se amal ko na chhoray. Hz. Gangohi farmatay hain k hz Haji sb. Se bayt k baad logon ki malamatain aur tareefain barabar ho gai hai, yahi na to malamaton se dil chhota hota hai aur na tareefon se nafs phoolta hai. Ye hai ikhlas k admi apnay ko kuchh na samjhay, tamam baraiyan sirf Allah k lye hain. Shetan waswasa dalta hai k itnay arsay se dua kar rahay ho parishani nahee ja rahi, zarur kisi gunah ka azab hai aur Allah tum se naraz hai, khush ho k maangnay ki tofeeq mili hui hai kabhee bhee mil jaey ga, aur jab tak na milay to us waqt tak razi rahay, chahay is intezar may zindagi khatam ho jaey, lekin Allah ka bawafa rahay k razi honay par bohat khush hotay hain aur wo kaam jald ho jata hai, aur jo intezar karatay hain to is lye k ye waqfa.e.tarbiat hota hai jis may aikto istedad bartay hain apni muhabbat k husool ki aur phir jab wo detay hain to apni riza, aur qurb k sath wo nemat detay hain jis may barkatain hoti hain. Lihaza manwana alamat hai k dena hai lekin apni muhabbat, qurb, riza k sath nemat dena hai. Banday ko chahye k banda bun k rahay, khudai na chahay k jo mai chahoon wohi ho. Bus apnay ko allah supurd kar de. Ye apnay ko Allah k supurd kar dena he to ain bandgi hai aur yehi tamam parishanyon ka hal hai. Allah tala asbab ko qata kar k tawajjo ko qavi kartay hain. K is ko sirf Allah he ka asra reh jaey baqi sub se nazar hut jaey. Ye mamla apno k sath kya jata hai warna ghayron k paas to asbab he asbab hotay hain. Logon k paas jo kuchh hai us se apnay ko mayoos kar le. Mustaqbil ki fikr may na paray, kyoon k jin cheezon ki zaroorat ho gee us k asbab bhee paida kar dye jaingay. Dua karay. Tadabeer karay lekin us may munhamik na ho.

You might also like