0% found this document useful (0 votes)
780 views65 pages

Afzaliyate Siddiqe Akbar Wa Farooqe Aazam

Islamic book

Uploaded by

portofmetals
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
780 views65 pages

Afzaliyate Siddiqe Akbar Wa Farooqe Aazam

Islamic book

Uploaded by

portofmetals
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 65

1 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Muqdama ...................................................................... 3
Sahaba E Kiram Se Mahabbat ...................................... 5
Sahaba E Kiram Ke Fazail ............................................ 7
Ala Hazrat Imaam Quds Sira Ke Irshadat : ................. 14
Afzaliyat Ke Bare Me Imaam Qurtabi Rehamtullah
Allay Ka Irshad : ......................................................... 21
Afzaliyat Ke Bare Me Immaa Bajuri Rehamtullah Allay
Ka Irshad :................................................................... 23
Zabd Ul Tahqeek Ki Chand Ibarat Aur Unka Rad ...... 24
Pehli Ibarat : ................................................................ 24
Sawalat ........................................................................ 24
Dusri Ibarat : ............................................................... 25
Sawal : ........................................................................ 25
Tisri Ibarat : ............................................................... 26
Chothi Ibarat ............................................................... 26
Sawalat ........................................................................ 28
Pehli Ibarat Aur Uska Rad : ........................................ 28
Aqwal :........................................................................ 28
Dusri Ibarat Aur Uska Rad : ....................................... 36
Tisri Aur Chhothi Ibarat Aur Uska Rad : .................... 41
Natija Nikla ................................................................. 48
"Sirf Ahl Bait Hi Ahl Bait Hai" .................................. 49
2 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Bagwi Aur Qurabi Me Hai :........................................ 52


Huzur Taajhushariah Ka Paigam Ahl Sunant Ke Naam
.................................................................................... 59
3 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Kuch Arsa Pehle Internet Par Ek Sawal Aya Jo "Zabd Ul


Tahqeek" Nami Kitab Ki Chand Ibarato Se Mutliq Tha, Us
Kitab Ko Jab Dekha Gaya To Malum Huwa Ke Uske Musnif
Pakistan Ke Koi Syed Abdul Qadir Jilani Sahab Hai, Jo (U.K)
Me Rahte Hai. Unhone Muktlif Dalail Se "Afzaliyat Ali Al
Shaikhain" Sabit Karne Ki Koshishi Ki, Jab Un Dalail Ko
Dekha Gaya To Sab Nakafi Nazar Aye. Kitab Chunki 100 Safat
Par Mustmil Thi Isliye Har Ek Dalil Ka Tauziyah Karne Ke
Liye Kafi Waqt Darkar Tha , Jo Digar Masrufiyat Ki Wajh Se
Mushkil Nazar Aya Isliye Huzur Taajhushariah Rehamtullah
Allay Ne Sawal Name Main Mazkura Ibarat Aur Un Qayam
Kiye Gaye Sawalat Ka Ilmi Aur Tahqeeki Jawab Dene Par Aur
Asal Masla Yani Afzaliyat E Sidiq E Akbar Wa Farooq E Azam
Radiallahu Ta'la Anho Ko Mazbut Dalail Se Sabit Karne Par
Ikhtfa Farmaya.
Mazmun Ko Tartib Is Taur Par Di Gayi Ke Sab Se Pehle
Sahaba E Kiram Radiallahu Ta'la Anho Se Mahabt Aur Unke
Fazail Ko Bayan Famraya Gaya, Phir Hazrat Sidiq E Akbar Wa
Farooq E Azam Radiallahu Ta'la Anhum Ki Afzaliyat Sabit Ki
Gayi Aur Phir Sawal Name Me Mazkur Ibaraat Aur Unpar
Qayam Kiye Gaye Sawalat Ka Batartib Jawab Dia Gaya.
Allah Ta'la Huzur Taajhushariah Rehamtullah Allay Ki Is
Kawish Ko Qabul Farmye Aur Use Logo Ki Hidayat Ka Sabab
Banaye , Niz Huzur Aur Huzur Ke Shehzade Girami Maulana
Asjad Raza Sahab Qadri Ko Sehat Wa Tandurasti Ata Farmaye
Unke Ilm Me Umar Me Bepanah Barkatein Ata Farmaye Aur
4 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Hum Ahle Sunnat Par Aapka Saya Tadair Qayam Salam


Rakhe.
Aameen
Aashiq Husain Kashmiri
Markazi Darul Ifta Bareli Sharif
3/Safar Ul Muzafar Hizri 1437
5 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ala Hazrat Quds Sirah Farmate Hai :


"Har Shakhs Par Wajib Hai Ke Ahle Bait E Nabuwat
Radiallahu Ta'la Anho Aur Tamaam Sahaba Radiallahu Ta'la
Anho Se Mahabat Rakhe, Ahle Bait Radiallahu Ta'la Anho Se
Adawat Ki Wajh Se Khawarij Me Se Na Ho Jaye Isliye Is Waqt
Usko Sahab Radiallahu Ta'la Anho Ki Mahabat Nafah Na Degi
Aur Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Ko Mabguz Rakhen Em
Rawafziyo Me Se Na Ho Jaye Isliye Ke Us Waqt Usko Ahl
Bait Radiallahu Ta'la Anho Kam Nad Degi.
Kyon Na Ho Halake Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Ki Mahabat
Unki Zaat Ki Wajh Se Nahi, Na Ahle Bait Radiallahu Ta'la
Anho Ki Mahabat Khud Un Ke Nafus Ki Wajh Se Hai Balke
Un Sab Ki Mahababat Rasoolallah ‫ ﷺ‬Se Unke Rabt Ki Wajh
Se Hai To Jisne Rasool Karim ‫ ﷺ‬Se Mahababt Ki Us Par
Wajib Hai Ke Un Sab Se Mahabat Kare Aur Jisne Un Me Se
Kisi Ko Mubguz Rakah Us Par Sabit Ho Gaya Ke Wo
Rasoolallah ‫ ﷺ‬Se Mahabbat Nahi Rakhta To Hum Mahabbat
Me Un Me Se Kisi Ek Ke Sath Farq Nahi Karte Jaise Ke Imaan
Lane Me Apne Rab Ke Rasoolo Ke Darmiyan Farq Nahi Karte.
Salawatullah Alhum. Aur Jo Abu Bakar Radiallahu Ta'la Naho
Se Mahabbat Kare Aur Ali Radiallahu Ta'la Se Mahabbat Na
Kare Jaise Nawasib Aur Khwarij , Uske Bare Me Malum Huwa
Hai Ke Wo To Ibne Abi Qahfa Se Mahabat Karta Ahi Na Ke
Rasoolallah ‫ ﷺ‬Ke Khilafa Aur Unke Mehboob Aur Unke
Sahabi Se Aur Jo Ali Radiallahu Ta'la Anho Se Mahabbat Karta
Hai Aur Abubakar Radiallahu Ta'la Anho Se Mahabbat Nahi
6 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Karta Uske Bare Me Malum Huwa Ke Wo To Ibne Abi Talib


Se Mahabbat Karta Ahi Na Ke Rasoolallah ‫ ﷺ‬Ke Bhai Aur
Unke Wali Aur Unke Nayb Se Aur Yahi Ma'ani Mashnawi Me
Molvi Ma'anvi Ke Qaul Ka Hai.
Aey Girftar E Abubakar Wa Ali To Cha Daani Sar Haq Ke
Gafli
(Al Mu'atmad Ul Mustnad Safa 278)
7 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Allama Ibne Hajar Makki Al Sawai Aq Al Mu'araq Me Sahaba


Radiallahu Ta'la Anho Ki Fazilat Bayan Karte Hue Farmate
Hai, Mahamali,Tibrani Aur Hakim Nehazrat Aumir Sa'ad
Radiallahu Ta'la Anho Se Riwayat Ki Ke Huzur ‫ ﷺ‬Ne Farmaya
:
"Allah Ne Mujhe Chuna Aur Mere Liye Ashab Chune To
Allahb Ne Un Me Se Mere Liye Kuch Ko Mera Wazir Aur
Dusro Ko Madadgar Aur Kuch Mere Sarali Qiratdar Kiye To
Jo Unhe Gali De Us Par Allah Ki Aur Farishto Ki Aur Tamaam
Logo Ki La'anat Hai. Aur Allah Qayamat Ke Din Un Se Farz
Qabul Karega Na Nafal."
Khatib Ne Hazrat Ansa Bin Malik Radiallahu Ta'la Anho Se
Riwayat Ki, Sarkar ‫ ﷺ‬Ne Farmaya :
"Allah Ne Mujhe Chuna Aur Mere Ashab Ko Chuna Aur Unme
Se Allah Ne Mere Liye Sarali Ristadar Aur Madadgar Chune
To Jisne Unke Mumale Me Meri Hurmat Mehfuz Rakhi , Allah
Uski Hifazat Farmayega Aur Jisne Unke Mumale Me Mujhe
Iza Di, Allah Usko Dega."
Aqli Ne "Za'afa" Me Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Se
Riwayat Ki :
Allah Ne Mujhe Bargujzida Kia Aur Mere Liye Ashab Aur
Sairali Ristadar Chune Aur Anqarib Kuch Log Hoge Jo Unko
Gali Dege Aur Unki Shaan Gatayege To Unke Sath Mat
Bethhna Aur Unke Sath Na Pina Na Khana Aur Na Un Se Shadi
Biya Karna."
8 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Bagva, Tibrani Aur Abi Naeem Ne "Muraqa" Me Aur Ibne


Asakir Ne Hazrat Ayaz Ansari Radiallahu Ta'la Se Riwayat Kia
:
"Meri Hurmat Ki Hifazat Karo, Mere Ashab Aur Mere Ansar
Aur Mere Ashar (Sairali) Ristdari) Sahaba Ke Muamale Me ,
To Jis Ne Unke Mumale Me Meri Hurmat Mehfuz Rakhi, Allah
Dunia Wa Akhirat Me Uski Hifazat Farmaye Aur Jisne Unke
Bare Me Meri Bat Na Rakhi Allah Wa Akhirat Me Uski Hifazat
Farmaye Aur Jisne Unke Bare Me Meri Bat Na Rakhi, Allah
Use Chorde Aur Jise Allah Chord De Anqari Usko Pakadega."
Tibrani Ne Syedna Hazrat Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho
Se Riwayat Ki :
Jo Ambiyah (Allaysallam) Ko Gali De Qatal Kia Jaye Aur Jo
Mere Sahaba Ko Gali De Usko Kode Lagaye Jaye.
Dehlmi Ne Syedna Anas Bin Malik Radiallahu Ta'la Anho Se
Riwayat Kia , Farmate Hai :
"Jab Allah Kisi Bande Ke Sath Bhalai Ka Irada Farmata Hai
Uske Dil Me Mere Sahaba Ki Mahabbat Dal Deta Hai."
Tirmizi Ne Hazrat Abdullah Bin Magfil Radiallahu Ta'la Anho
Se Riwayat Ki, Sarkar ‫ ﷺ‬Ne Farmaya :
"Mere Sahaba Ke Mumale Me Allah Se Daro Mere Bad Unko
Nishana Na Bana Lena, To Jisne Use Mahabbt Ki Usne Merei
Hi Mahababt Ke Badaulat Un Se Mahabbat Ki, Aur Jisne Un
Se Bugz Rakha To Usne Mujh Se Bugz Ki Wajh Se Bugz
Rakha, Aur Jisne Unhe Sataya To Usne Beshak Mujhe Sataya
9 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Aur Jisne Mujhe Sataya Usne Allah Ko Iza Di , Aur Jo Allah


Ko Iza De Qarib Hai Ke Allah Usko Pakde."
Khatib Ne Hazrat Ibne Ummar Radiallahu Ta'la Anho Se
Riwayat Ki :
Jab Tum Unlogo Ko Dekhe Jo Mere Sahaba Ko Dushnam Dete
Hai To Kaho, Allah Ki Laanat Tumhare Shar Par.
Ibne Adi Ne Hazrat Ayesha Radiallahu Ta'la Anha Se Riwayat
Ki :
"Meri Ummat Ke Badtarin Logo Wo Hai Jo Mere Sahaba Par
Jari Hai."
Ibne Majah Ne Hazrat Umar Radiallahu Ta'la Se Riwayat Ki :
"Mere Sahaba Ke Mumale Me Meri Hurmat Ki Hifazat Karo
Phir Un Tabaeen Ke Bare Me Jo Un Se Mutsal Hai."
Shairazi Ne "Alqab" Me Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu
Ta'la Anho Se Riwayat Ki :
"Mere Sahaba Ke Mumale Me Mera Pass E Adab Rakho , To
Jo Un Ke Mumale Me Mera Pass E Adab Rakhe, Main Allah
Ki Taraf Se Uska Mahafiz Ho Aur Jo Unke Mumale Me Mere
Namus Ki Haifazat Na Kare , Allah Us Se Bari Hai Aur Jis Se
Allah Bari Huwa Anqarib Usko Pakdega.
Khatib Ne Hazrat Jabir Radiallahu Ta'la Anho Se Aur Dar
Qutni Ne "Afrad " Me Hazrat Abu Huraira Radiallahu Ta'la
Anho Se Riwayat Ki : "Beshak Logo Zayda Hue Hai Aur Mere
Ashab Kam Hue Hai, To Mere Sahaba Ko Gali Na Do, Ab Jo
Unhe Gali De Uspar Allah Ki Laanat."
10 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Hakim Ne Abu Saeed Radiallahu0 Ta'la Se Riwyaat I Sarkar ‫ﷺ‬


Ne Sahaba Se Farmaya :
"Sun Lo Tumahre Bad Aane Wale Log (Sawab Me) Tumhare
Paimano Yani Sa'ah Aur Mudko Na Pohchege."
Ibne Asakir Ne Hazrat Hasan Basri Radiallahu Ta'la Anho Se
Batariq Mursal Riwayat Kia, Sarkar ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Tumhe
Mere Sahaba Se Kia Kam ? Meri Khatir Mere Sahaba Ko
Chordh Do (Yani Unhe Bura Na Kaho) To Mujhe Uski Qasam
Jiske Qabza Qudrat Me Meri Jaan Hai , Agar Tum Me Koi
Ohad Pahad Ke Barbar Rah E Khuda Me Sona Kharch Kare,
Ek Din Bhi Kisi Ek Sahabi Ki Neki Ke Barbar Na Pohchega.
Aima Ahmad,Bukhari,Muslim,Abu Dawood, Aur Tirmizi Ne
Abu Saeed Radiallahu Ta'la Anho Se Aur Muslim Aur Ibne
Majah Ne Hazrat Abu Huraira Se Riwayat Ki :
"Mere Sahaba Ko Dusham Na Do, To Mujhe Uski Qasam Hai
Jiske Dast E Qudrat Me Meri Jaan Hia . Agar Tum Me Se Koi
Ohada Pahad Ke Barabar Sona Kharch Kare Na Unke Muh Ke
Barbar Na Unhe Adhe Muh Ke Barbar Pohche.
Aaima Ahmad, Abu Dawood, Aur Tirmizi Ne Hazrat Ibne
Masood Radiallahu Ta'la Anho Se Riwayat Ki :

"Mere Sahaba Ke Bare Me Koi Mujhe Dekhe Na Pohchae


Isliye Ke Main Yeh Pasand Hun Ke Me Tumhare Pass Apne
Kashana Se Us Hal Me Bahar Aao Ke Mere Sina Salamat Ho.
(Yani Koi Aziyat Na Ho)
11 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Imaam Hakim Ne Anas Radiallahu Ta'la Anho Se Riwayat Kia


:
"Meri Khatir Mere Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Ko Rahne
Do, Mujhe Uski Qasam Jiske Qabza Qudrat Me Meri Jaan Hai
Ke Agar Tum Log Ko Ohad Ke Barbar Sona Kharch Karo,
Unki Nekiyon Ko Na Pochege.
Dar Qutni Ne Riwayat Kia :
Jisne Mere Sahaba Ke Mumale Me Meri Namus Ki Hifazat Ki
Hauz E Kausar Par An Ayega Na Mujhe Dekhega."
Tibrani Aur Hakim Ne Hazrat Abdullah Bin Basir Radiallahu
Ta'la Anho Se Riwayat Ki :
"Khush Khabari Hai Us Ke Liye Jisne Mujhe Dekha Aur Uske
Liye Jis Ne Unko Dekha Jinhone Mere Dekhne Walo Ko
Dekha Aur Muj Par Imaan Laya, Unke Liye Khush Khabar Hai
Aur Behtar Anjaam.
Abad Bin Hamid Ne Hazrat Abu Saeed Radiallahu Ta'la Anho
Se Aur Ibne Asakir Ne Hazrat Wasla Radiallahu Ta'la Anho Se
Riwayat Kia :
"Khushi Ho Usko Jisne Mujhe Dekha, Aur Jisne Un Logo
Dekha Jinhone Meri Dekhne Walo Ko Dekha."
Tibrani Ne Hazrat Ibne Umar Radiallahu Ta'la Se Riwyat Kia :
"Allah Ki Lanat Ho Un Par Jo Mere Sahaba Ko Dushnam De."
Tirmizi Aur Ziya Ne Hazrat Barida Radiallahu Ta'la Se Riwayt
Kia :
12 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

"Meri Sahaba Me Se Koi Shakhsh Kisi Zamin Me Intqal Na


Karege Magar Us Hal Me Ke Wo Qayamat Ke Din Us Jagah
Ke Bashindo Ke Liye Rehnuma Hoga.
Abu Yahla Ne Hazrat Anas Radiallahu Ta'la Anho Se Riwyat
Kiya :
"Mere Sahaba Ki Kahwat Esi Hai Jaise Khane Me Namak
Khana Bagair Namak Ke Kisi Qabil Nahi Hota."
Ahmad Wa Muslim Ne Hazrat Abu Musa Asha'ari Radiallahu
Ta'la Anho Se Riwayat Kia :
"Sitare Asaman Ki Aman Hai, Jab Sitare Na Rahe Ge Asman
Par Wo Bala Ayegi Jiska Wada Kia Gaya, Aur Main Apne
Sahaba Ke Aman Ho To Jab Main Tashrif Le Jaoga Mere
Sahaba Wo Ayega Jiska Unhi Wada Dia Gaya.
Tirmizi Aur Ziya Ne Hazrat Jabir Radiallahu Ta'la Se Riwayat
Kia :
"Aag Us Musalman Ko Nahi Chhuegi Jisne Mujhe Dekhiyaa
Jisne Imaan Ki Sath Mere Dekhne Walo Ko Dekha."
Tirmizi Aur Hakim Ne Riwayat Kia :
"Sab Se Behtar Farq (Sadi) Meri Qarn Hai, Phir Jo Us Qarn Se
Mile Phir Jawab Se Male."
Tibrani Aur Hakim Ne Ja'ad Bin Habira Radiallahu Ta'la Anho
Se Riwayat Kia :
"Sab Se Behtar Log Us Qarn Ke Log Hai Jin Me Me Tashrif
Farma Ho, Phir Jo Un Se Mile Aur Unke Bad Wale Kam Rutba
Hai.
13 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Muslim Ne Hazrat Abu Huraira Radiallahu Ta'la Anho Se


Riwayat Ki :
"Meri Ummat Ke Sab Se Behtar Log Wo Qarn Hai Jisme Main
Ma'abus Huwa, Phir Jo Un Se Mile Us Ke Bad Jo Un Se Mile."
Fa'ada Hadisiya "
Aza Zikr Ashabi Famskwa " Jab Mere Sahaba Radiallahu Ta'la
Anho Ka Zikr Ho To Apni Zubane Rok Lo.
Is Hadees Se Jis Tarah Kutb Aqaid Me Mazkur Ke Sahaba E
Kiram Ke Darmiyan Jo Ikhtlafat Hue U Ke Haq Me Har Par
Yeh Lazim Hai Ke Un Me Hum Dakhal Na De Aur Khuz Be
Ja Se Baz Rahe. Isi Tarah Hadees Pak Humko Hidayat Karti
Hai Ke Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Me Baham Esi Tafzil Se
Bache Jo Kisi Tanqis Ki Taraf Maudi Ho, Yahi Se Tafsil Be
Jaki Mumaniat Nikli Aur Bab E Tafzil Me Itbah E Hawa Se
Mamaniat Zahir Aur Jab Baham Sahaba Radiallahu Ta'la Ke
Darmiyan Aitqad Fazal Me Yeh Lazim Ke Allah Wa Rasool
Jalallahu ‫ ﷺ‬Ki Muqrar Karda Hado Ki Tauqif Se Bahar Na Jaye
Aur Itbah E Hawa Se Kam Na Le To Gair E Sahaba Ki Sahaba
Radiallahu Ta'la Par Tafzil Kyon Kar Sahaba Radiallahu Ta'la
Anho Ki Tanqis Ki Taraf Maudi Na Hogi Aur Us Se Kyon Kar
Mumaniat Na Hogi Zahir Hai Ke Yeh Bhi Manah Hai Aur
Mufad E Hadees Ki Umum Mumaniat Hai Un Sab Surato Ko
Shamil Hai Ke Askwa" (Apni Zubanein Roklo) Mutliq Hai
Yahi Se Zahir Huwa Ke Yyeh Kahna Ke "Algarz Jumla Sahab
E Kiram Ummati Hai Aur Ahle Bait Hi Ahl Bait Hai, "Isi Ke
Tahat Mandarj Hai Jis Se Hadees Ne Manah Farmaya , Is Jumle
Ka Mazid Humare Muqale Ke Akhir Me Mulahija Ho.
14 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ahl Sunnat Wa Jamaat Ka Aqeedah Hai Ke Ambiyah Mursalin


Ke Bad Afzal Ul Khalq Syedna Abu Bakar Sidiq Radiallahu
Ta'la Anho Hai Unke Bad Syedna Farooq E Azam Radiallahu
Ta'la Anho Unke Bad Syedna Usman Gani Zunurain
Radiallahu Ta'la Anho Phir Syedna Ali Karamullah Wz Ul
Karim Chothhe Khalifa.
Shaikhain Karimain Wazirain Jalilain (Hazrat Abu Bakar Sidiq
Wa Hazrat Umar Farooq Radiallahu Ta'la Anho) Ke Afzal Ul
Khalq Bad Ul Rasool Hone Par Sarkar Abd Qarar ‫ ﷺ‬Ke Ahad
Karamat Mahad Se Jumla Sahaba E Kiram Rizwanullah
Azmainn Ka Ijma Aur Unke Bad Tabaeen Wa Tabe Tabaeen
Radiallahu Ta'la Anho Aur Tamam Ahl Sunnat Ka Ijma Chala
Aa Raha Hai Un Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Me Hazrat Ali
Mushkil Kisha Karimullah Ta'la Wajh Ul Karim Bhi Hai, Ala
Hazrat Azim Ul Barkat Ne Apni Kutb E Musttab, "Gaitul
Tahqeek, "Al Jawal Ul Ifqa" Aur Mutlah Ul Qamrin"Me Is
Matlab Ko Khub Roshan Wa Mujla Farmaya Yaha Kuch
Iqtasat Awal Zikr Kitabo Ke Darj Hote Hai, Chunache "Gaitul
Tahqeek Me Hai :
Sahi Hadees Sharif Me Hai Syedna Ibne Syedna Imam
Mohmmad Bin Hanifa Sahabzada Hazrat Maula Ali
Karamullah Wajhul Karim Se Marwi :
Maine Apne Walid Majid Karimullah Wajh Ul Karim Se Arz
Kia Rasoolallah ‫ ﷺ‬Ke Bad Sab Admiyon Me Behtar Kon Hai ?
Farmaya :"Abu Bakar" Maine Arz Kia Phir Kon ? Farmaya :
"Umar" Radiallahu Ta'la Amhum Azmain
15 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

2 Imaam Bukhari Apni "Sahi" Aur Ibne Maja Sunan" Me


Batariq Abdullah Bin Salma Amir Ul Mominin Karamullah
Waz Ul Karim Se Rawi Ke Farmate They :
Behtarin Mardam Bad Syed Alam ‫ ﷺ‬Abu Bakar Hai Aur
Behtarin Mardam Bad Abubakar Umar Radiallahu Ta'la
Imaam Ibne Al Qasim Ismail Bin Mohammad Bin Afzal Ul
Lajkhi "Kitab Ul Sunat" Me Rawi :
Tarjumah :
Hazrat Alqma Radiallahu Ta'la Anho Farmate Hai Amir Ul
Mominin Karamullah Waj Ul Karim Ko Khabar Pohchi Ke
Kuch Log Unhe Hazrat Sidiq Wa Farooq Radiallahu Ta'la
Anho Se Afzal Batate Hai Yeh Sun Kar Mimbar Par Jalwagar
Hue , Hamd Wa Sana E Illahi Baja Laye Phir Farmaya :
Aey Logo ! Is Bare Me Agar Maine Pehle Se Hukm Suna Dia
Hota To Beshak Saza Deta Aj Se Jise Esa Kahte Sunoga Wo
Muftari Hai Us Par Mufatari Ki Had Yani 80 Kode Lazim Hai.
Phir Farmaya : Beshak Nabi ‫ ﷺ‬Ke Bad Afzal Ummat Abubakar
Radiallahu Ta'la Anho Hai Phir Umar Radiallahu Ta'la Anho
Phir Khuda Khub Janta Hai Unke Bad Kon Sab Se Behtar Hai."

Alqma Radiallahu Ta'la Anho Farmate Hai Majis Me Syedna


Imaam Hasan Mujtaba Radiallahu Ta'la Anho Bhi Tashrif
Farma They, Unhone Farmaya :

Khuda Ki Qasam Agar Tisre Ka Nam Lete To Usman


Radiallahu Ta'la Anho Ka Nam Lete."
16 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

4 Imaam Dar Qutni "Sunan" Me Aur Abhu Amr Bin Abdul


Bara "Astiat Me Hakim Bin Jal Se Rawi Hazrat Maula Ali
Karamullah Wz Ul Karim Farmate Hai :
Main Jise Paoga Ke Mujhe Abubakar Wa Umar Radiallahu
Ta'la Anho Se Afzal Kahta Ahi Use Muftari Ki Had Lagaoga.
Imaam Zahbi Farmate Hai : Yeh Hadees Sahi Hai.
Sunan Dar Qutni Me Hazrat Abu Jaifa Radiallahu Ta'la Anho
Se, Ke Huzur Syed Alam ‫ ﷺ‬Ke Sahabi Aur Ameer Ul Mominin
Karmullah Waz Ul Ke Muqrab Bargah They, Janaab E Amir
Unhe "Wahb Ul Khair"Farmaya Karte They, Marwi :
Yani Unke Khayal Me Maula Ali Karamullah Wz Ul Karm
Tamaam Ummat Se Afzal They Unhone Kuch Logo Ko Uske
Khilaaf Kahte Sanakhat Ranj Huwa, Hazrat Maula Ali Unka
Hath Pakd Kar Kashana E Wilayat Me Le Gaye Gum Ki Wajh
Puchhi , Guzarish Ki, Farmaya, Kya Main Tumhe Na Bata Du
Ke Ummat Me Sab Se Behtarin Kon Hai Abubakar Hai Phir
Umar Radiallahu Ta'la Anho Hazrat Abu Jaifa Radiallahu
Farmate Hai Allah Azwajjal Se Ahad Kia Ke Jab Tak Jiyuga Is
Hadees Ko Na Chhupaoga, Bad Uske Khud Hazrat Ali
Karamullah Wz Ul Karim Ne Balmushafa Mujh Se Esa
Farmaya.
5 Imaam E Ahmad Musnad Me Zaiuneedn Radiallahu Ta'la
Anho Abhu Hazam Se Rawi :
Yani Ek Shakhs Ne Hazrat Imaam Zainul Abdeen Radiallahu
Ta'la Anho Ki Khidmat E Aqdas Me Hazir Hokar Arz Ki ,
Huzur Syed Alam ‫ ﷺ‬Ki Bargah Me Abubakar Wa Umar
Radiallahu Ta'la Anho Ka Martaba Kya Tha ?
17 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Farmaya : Jo Martaba Unka Ab Hai Ke Huzur ‫ﷺ‬Ke Pehlu Me


Aram Kar Rahe Hai :
7 Dar Qutni Hazrat Imaam Baqir Radiallahu Ta'la Anho Se
Rawi E Irshad Farmate Hai :
Yani Aaulad E Amjad Hazrat Batul Zohra Ka Ijma Wa Itefaaq
Hai Ke :Abu Bakar Wa Umar Ke Haq Me Wo Bat Kahe Jo Sab
Se Behtar Ho.
Ala Hazrat Farmate Hai :
"Zahir Hai Ke Sab Se Behtar Bat Usi Ke Haq Me Kahi Jayegi
Jo Sab Se Behtar Ho."
Imaam Ibne Asakir Wagera Salam Bin Abhi Aljah Radiallahu
Ta'la Anho Se Rawi :
Yani Maine Imaam Mohammad Bin Hanfia Radiallahu Ta'la
Anho Se Arz Kia : "Abu Bakar Radiallahu Ta'la Anho Sab Se
Pehle Islam Laye They ? "Farmaya : "Na" Maine Kaha : "Phir
Kya Bat Ke Abu Bakar Radiallahu Ta'la Anho Sab Se Bala
Rahe Aur Paishi Ke Le Gaye Yaha Tak Ke Log Un Ke Siwa
Kisi Ka Zikr Hai Nahi Karte. Farmaya "Yeh Isliye Ke Wo
Islam Me Sab Se Afzal They Jab Se Islam Laye Yaha Tak Ke
Apne Rab Azwajjal Se Mile."
Imaam Abul Hasan Darqutni , Jandab Asadi Radiallahu Ta'la
Anho Se Rawi Ke, Imaam Mohammad Bin Abdullah Mehaj
Bin Hasan Mashna Bin Hasan Mujtaba Bin Ali Murtaza
Karamullah Waz Ul Karim Ke Pass Kuch Ahl Kufa Wa Jazira
Ne Hazir Ho Kar Abu Bakar Wa Umar Radiallahu Ta'la Anho
18 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ke Bare Me Sawal Kia , Imaam Mohduh Radiallahu Ta'la


Anho Ne Meri Taraf Multfat Ho Kar Farmaya
Apne Shehar Walo Ko Dekho Mujh Se Abubakar Wa Umar
Radiallahu Ta'la Anho Ke Bare Me Sawal Karte Hai Wo Dono
Mere Nazdik Bila Shuba Maula Ali Se Afzal Hai.
Radiallahu Ta'la Anhum Azmaeen.
Imaam Hafiz Wa Abi Shaiba, Hazrat Imaam Ajal Syed Zaid
Shaheed Bin Imaam Ali Sajda Zain Ul Abadeen Bin Imaam
Husain Syedu Shohda Sallawatullah Wa Taslimat Al Jadhum
Yam Wallayhim Se Riwayat Hai Karte Hai Ke Unhone Kufiyo
Se Farmaya :
Yani
Kharjion Ne Uth Kar Un Se Tabra Ki Jo Abubakar Wa Umar
Radiallahu Ta'la Anho Se Kam They (Yani Usman Wa Ali
Radiallahu Ta'la Anhum) Magar Abu Bakar Wa Umar
Radiallahu Ta'la Anho Ki Shan Me Kuch Kahne Ki Gunjaish
Na Pai Aur Tumne Aey Kufiyon Par Jast Ki Ke Abu Bakar Wa
Umar Radiallahu Ta'la Anho Se Tabra Ki To Ab Kon Rah
Gaya, Khuda Ki Qasam Ab Koi Na Raha Jis Par Tumne Tabra
Na Kia Ho.

Wal Azyabillah Rab Ul Alamnin.


Gait Ul Tahqeek (Az Ala Hazrat Quds Sira Safa 6 Ta 10)
19 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Al Zalal Ul Inqa Me Hai :


Unhi Hazrat Me Se Jinhone Tafzili Shaikhain Par Ijma Ki
Khabar Di Hazrat Memun Ibn Mehran Haia Jo Fuqah E
Tabaeen Me Shumar Hote Hai , Un Se Hazrat Abu Bakar Sidiq
Aur Farooq E Azam Ke Bare Me Pucha Gaya Ke Yeh Afzal
Hai Ya Hazrat Ali (Radiallahu Ta'la Anhum) Yeh Jumla Sun
Kar Unke Badn Ke Rongte Khade Ho Gaye Aur Unki Rage
Bhadakne Lagi , Yaha Tak Ke Aap Ke Sath Se Asa Bhi Gir
Gaya Aur Farmaya :
"Main Nahi Samjaata Tha Ke Main Is Zamane Tak Zinda
Rahuga Jis Me Log Abubakar Wa Umar Radiallahu Ta'la
Anhum Par Kisi Ko Fazilat Dege. Aw Kama Qal, Abu Naeem
Ne Ise Hazrat Faraat Bin Saib Radiallahu Ta'la Anho Se
Riwayat Kia."

Unhi Hazrat Me Alim E Madina Imaam Malik Bin Anas


Radiallahu Ta'la Anho Bhi Hai. Un Se Pucha Gaya Ke
Rasoolallah ‫ ﷺ‬Ke Bad Logoo Me Afzal Kon Hai ?
Farmaya :
"Abu Bakar Wa Umar Radiallahu Ta'la Anho "Phir Farmaya :
"Kya Usme Shak Hai ?

Unhi Hazrat Me Imaam E Azam Aqdam Wa Alm Akram


Syedna Imaam Abu Hanifa Radiallahu Ta'la Anho Bhi Hai,
Aap Se Ahl Sunnat Wa Jammat Ki Alamat Wa Nishani Ke Bare
Me Sawal Huwa To Aap Ne Irshad Farmaya :
20 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

:Shaikhain Abu Bakar Wa Umar Radiallahu Ta'la Anho Ko


Fazilat Dena,Khatnin Usman Wa Alui Radiallaho Se Mahabbat
Rakhna Aur Mauzo Par Mash Karna."
Unhi Me Alam Quraish Ruh E Zamin Ko Ilm Se Bhar Dene
Wale Syedna Imaam Mohammad Bin Idrish Shafai Mutlabi
Radiallahu Ta'la Anho, Aap Ne Tafzil Shaikhain Par Sahaba E
Kiram Aur Tabaeen Izaam Radiallahu Ta'la Anho Ka Ijmah
Naqal Famraya Aur Kisi Ikhtlaaf Ki Hikayat Na Ki.
Unhi Me Se Imaam E Ahl Sunnat Hujjat Ul Islam Imaam
Gazali Rehamtullah Alay Hai Jinhone Ahya Uloom Ke Baa
Qawaid Ul Aqaid Me Bujurago Ke Aqaid Bayaan Kiye Hai Un
Me Masla Tafzil Zikr Farmaya Ke :
"Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ke Bad Insano Me Sab Se Afzal Hazrat
Abubakar Hai Phir Hazrat Umar, Phir Hazrat Usman , Phir
Hazrat Ali Radiallahu Ta'la Anhum "Zikr Aqaid Ke Bad Akhir
Me Farmaya : Yeh Sab Wo Aqaid Hai Jin Se Mutliq Ahadees
Warid Hai Aur Jin Par Asar Sahid Hai, To Jo Shakhs Yaqin
Ke Sath Un Sab Ka Aitqad Rakhe Wo Ahle Haq Aur Jamat E
Sunnat Se Hoga Aur Gumrahi Ki Jamaat Aur Badmazhabi Wa
Bidat Ke Giro Se Juda Hoga.
Aur Unhi Me Jabal Ul Hafaz Alamatul Alwari Syedna Ibn
Hajar Asqalani , Imaam Ahmad Bin Mohammad Asqalani
Maulana Al Fazil Abdul Baqi Zurqani ,Nazm Qasida Ul Amali
Fazal E Jalil Maulana Ali Qari Wagera Hum Rehmatullah Ta'la
Allay Ajmain.
(Tarjuma Al Jalal Ul Alitnqa)
21 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Imaam Qurtabi Farmate Hai :


Tarjumah :
Hum Ahl Sunnat Ke Nazdik Khulfa, Ki Afzaliyat Khilafat Ke
Tartib Ke Mawafiq Hai Sath Hi Hazrat Usman Wa Hazrat Ali
Radiallahu Ta'la Anho Ke Darmiyan Afzaliyat Daira Me
Tardud Hai.
Aur Shia Aur Jamuir Muatzala Ke Nazdik Ali Karamtullah Wz
Ul Karim Hi Afzal Hai , Humari Dalil Ijmali Yeh Hai Ke Aksar
Ulma Ka Is Par Itefaq Qazi Hai Ke Unke Nazdik Uski Dalil
Maujud Hai , Aur Tafisli Dalil Allah Ta'la Ka Farman :
Yani Aur Boht Us Se Dur Rakha Jayega Jo Sab Se Bada
Parhezgaar Jo Apna Mal Deta Hai Ke Suthara Ho.
Yeh Ayat Karima Abubakar Sidiq Radiallahu Ta'la Anho Ke
Bare Me Utari Aur Itqa Sab Se Bada Parhezgaar, Sab Se Jayda
Bujuragi Aur Fazilat Wala Hai Aur Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ka Farman
:
"Un Do Ki Pairwi Karo Jo Mere Bad Qaid Hoge Abubakar Wa
Umar Radiallahu Ta'la Anho.
Lehaja Hazrat Ali Radiallahu Ta'la Anho (Farman E Nabwi Se)
Is Bat Par Mamur Hue Ke Un Dono Hazraat Radiallauh Ta'la
Anho Ki Pairwi Kare, Aur Huzur ‫ ﷺ‬Ka Farman Hai :
"Yeh Dono Adher Umr Ke Jannati Logo Ke Sardar Hai
Nabiyon Aur Rasoolo Ko Chordh Kar" Aur Huzur ‫ ﷺ‬Farmate
22 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Hai : "Meri Ummat Me Sab Se Behtar Abubakar Hai Phir Umar


Radiallahu Ta'la Anhum.
23 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Imaam Bajuri Rehamtullah Allay Jo Har Ke Shair


Yani Sare Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Se Behtar Wo Log
Hai Jo Mansab E Khilafat Par Faiz Hue Aur Fazilat Me Un
Khulfa Ka Al Tartib E Khilafat Ke Mawafiq Hai.
Ke Tahat Farmate Hai :
Yani Khulfa E Arba Radiallahu Ta'la Anho Ki Shaan E Fazal
Bamani Kashrat E Sawab Ki Tartib Me Ahl Sunnat Ke Nazdik
Unki Tartib Khilafat Ke Mawafiq Hai To Sab Se Afzal
Abubakar Phir Umar Phir Usman Phir Ali Radiallahu Ta"La
Anho Hai, Aur Us Bat Par Ibn Umar Radiallahu Ta'la Ki
Hadees Dalil Hai Wo Farmate Hai : Hum Kahte They Aur
Rasoolallah ‫ ﷺ‬Sunte They :
"Is Ummat Me Sab Se Bahtar Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ke Bad Abubakar
Hai Phir Umar Phir Usman Phir Ali Radiallahu Ta"La Anho To
Humko Huzur ‫ ﷺ‬Ne Mana Na Farmaya,"
Aur Sa'ad Ul Milt Wal Deen Ne Farmaya :
"Isi Aqeede Par Humne Salf Wa Khalf Ko Paya Aur Yeh
Roshan Hai Ke Agar Unn Hazraat Ke Pass Is Aqeede Par Dalil
Na Hoti To Uska Hukm Na Farmate."
24 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Tarjumah :
Ibne Adi Ibn Askir Ne Abu Saeed Se Marfun Riwayat Kia Hai
:
"Ali Behatrin Makhluq Hai."
Is Jagah Janab Ali Murtaba Radiallahu Ta'la Anho Ko Sab
Makhluq Se Afzal Kaha Gaya, Is Se Murad Sari Ummar ,Sare
Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Hai. (Ambiyah Allaysalam
Hidayat Aqli Se Mustsna Hai) Yaha Sarkar Do Alam ‫ ﷺ‬Ka
Janaab E Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ko Sab Makhluq Se
Acha Farmana Ek Hujjat Qawiya Sharia Hai Aur Sahaba E
Kiram Ka Is Par Amal Farmana Is Bat Ka Sabut Hai Ke Usme
Sarkar ‫ ﷺ‬Ka Khususiyat Nahi Hai Balke Ummat Ka Majmuai
Aqeeda Hai, Yaha Koi Tawil Mumkin Nahi Hogi.

Maula Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ki Afzaliyat Ke


Aqeede Ko Ummat Ka Mazmuai Aqeedah Qarar Dena Kaisa
Hai ?
2 Jamih Ummat Ke Muqable Par Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ka Zikr Karna
Aur Yeh Kahna Ke :
"Is Me Sarkar ‫ ﷺ‬Ki Khususiyat Nahi Hai"
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki Tauheen Hai Ya Nahi ?
25 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ibne Asakir Matufi Hizri 571 Apni Kitab Tarik Madina Damish
Jild 42 Safah 370 Par Tahrir Faramte Hai :
"Tumhara Ana Mubarak ! Aey Sare Musalmano Ke Sardar Aur
Sare Mutqiyon Ke Imaam"
Yeh Hadees Marfuh Hai Sarkar E Do Alam ‫ ﷺ‬Ka Janab E Ali
Murtaza ‫ ﷺ‬Ko Tamaam Musalmano Ka Sardar Farmana Jumla
Ummat E Mohammadiya Me Afzliyat Ki Kafi Dalil Nahi Hai
Kya ? Sab Altqiya Ka Sardar Farmana , Sab Se Akram Hone
Ki Dalil Nahi Hai Kya Hai ?
Yaha Sab Ulqaiyah Se "Itqa" Hona Kisi Hadees Ya Ayay Se
Istnabat Nahi Kia Gaya Balke Sarkar E Do Alam ‫ ﷺ‬Ne Ali
Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ko Mukhatib Farma Kar Sarhat
Farmai Ke Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Sab Ul Itqia Ka
Sardar Ho Kar Akram Ul Ummat Hai.

Kya Is Ibarat Se Yeh Wajeh Nahi Hota Ke Musnif Ke Nazdik


Agar Yeh Bat Kisi Ayat Se Mustnbat Hoti To Us Ki Koi
Ahmiyat Na Hoti, Uski Ahmiyat Isliye Hai Ke Sarkar ‫ ﷺ‬Ne
Khud Maula Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ko Mukhatib
Farma Kar Yeh Irshad Farmaya : Kya Yeh Andaz Tauheen
Quran Ke Zimare Me Nahi Ata ?
26 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Itazabu Zahra Professer Jamia Azhar Misr Ke Bayan Se Bat


Samne Aa Gayi Ke Afzaliyat Ali Murtaza Radiallahu Ta'la
Anho Ka Aqeedah Shio Ka Munfarad Aqeedah Na Tha Balke
Sahaba Radiallah Ta'la Anhum Ki Bhari Tadad (Jo Bani Abbas
Aur Jumla Hasmiyon Se Banti Hai Jo Madina Sharif Ki Galib
Aksariyat Banti Hai) Afzaliyat E Ali Murtaza Radiallahu Ta'la
Anho Ka Aqeedah Rakhti Hi Jinhe Sunniyat Se Kharij Na Kia
Gaya Na Bad Aqeedagi Ki Taraf Mansub Ki Gayi, Is Se Yeh
Pata Chalta Hai Ke Masla Tafzil Naqabil Najah Tha.
(Safa219)
Sawal : Bani Abbas Wa Bani Hashmiyat Sahaba Radiallahu
Ta'la Anhum Ki Bhari Taadad Ka Afzliyat E Murtaza Ke
Aqeede Par Karband Hone Ka Dawa Kaisa Hai ? Esa Dawa
Karne Wala Sunni Hai Ya Shia ?

Ala Hazrat Fazil E Barelvi Rehmatullah Allay Ka Ek Nukta


Nigah

Ala Hazrat Fazil E Barelvi Rehmatullah Allay Ne Afzaliyat Ke


Baad Me Muktlif Aqwal Farmaye Amgar Aqwal Az Qasm
Istnabat Wa Istdlal Hai Magar Yeh Hawala Aap Ka Bazuban E
Nabuwat Hai. Fatwa E Razwiyah Jild 23/232
27 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Hadees 79
Ap Naqal Farmate Hai :
Tarjumah :
Roz E Qayamat Main Sab Se Pehle Ahl Bait Ki Shafa'at
Farmaoga Phir Darja Ba Darja Zayda Nazdik Hai Quraish Tak,
Phir Ansar, Phir Wo Ahl Yaman Jo Ke Mujh Par Imaan Laye
Aur Meri Pairwi Ki, Phir Baqi Arab, Phir Ajam, Aur Main Jiski
Shafa'at Pehle Karu Wo Afzal Hai Usko Riwayat Kia Hai
Tibrani Ne Kabir Me Aur Daar E Qutni Ne Ifrad Me Aur
Mukhlis Ne Fawaid Main Ibne Umar Radiallahu Ta'la Anho
Se.
Tabsara
" Main Puri Ummat Me Sab Se Pehle Apni Ahle Bait Ki
Shafa'at Karuga, Yeh Sugra Huwa, Aur Jiski Me Sab Se Pehle
Shafa'at Karuga Wo Sab Se Afzal Hai, Yeh Kubra Huwa, Meri
Ahl Bait Puri Ummat Se Afzal Hai ( Yeh Natija Muntqia Hai)
Ab Jumla Sahaba E Kiram, Khulfa E Rashdin Bamana Ashar
Mubshara, Hazirin Badr , Hazrin Ihd , Ahl Bait Rizwan Al
Garz Jumla Aqsam Sahba E Kiram Ummati Hai Aur Sirf Ahl
Bait Hi Ahl Bait Hai, Aur Ahl Bait Jumla Aqsam Ummat Se
Afzal Hai. (Radiallahu Ta'la Ajmaeen)
Aur Ek Ma'ani Janat E Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ko Ahl
Bait Me Afzaliyat Hasil Hai Kyon Ke Jumla Hashmi Mah Ahl
Bait E Rasool ‫ ﷺ‬Ke Janaab Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ko
Afzal Samjte They.
(Safa300,301)
28 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

(Zabd Ul Tahqeek Ke Musnif Ne Ala Hazrat Rehamtullah


Allay Ko Apna Hum Nawa Sabit Karne Ke Liye Yeh Hadees
Fatwa Razwiyah Ke Hawale Ke Saht Zaid Ul Tahqeek Ke
Book Title Par Bhi Shayh Ki Hai.)

1 Syedi Ala Hazrat Allayrehma Ki Bayan Karda Is Hadees Ka


Asal Mafhum Kya Hai ?
2 Zabd Ul Tahqeek Ke Musnif Ke Tabsara Se Yun Lagta Hai
Ke Wo Ahle Bait Ko Ummati Nahi Mante Balke Unko Koi
Alag Hi Maqam Dete Hai, Unka Yeh Tarz E Amal Kaisa Hai ?

Tarjumah

Adi Wa Ibne Asakir Ne Abu Saeed Radiallahu Ta'la Anho Se


Marfun Riwayat Kia Hai :
"Ali Murtaza Betrin Makhluq Hai."
Daur Mansur 6/589

Awalan : Yeh Hadees Un Ahadees Marfua Ke Muaraz Hai Jo


Sarkar Abd Qarar ‫ ﷺ‬Se Marwi Hai Jin Se Afzaliyat Sidiq E
Akbar Radiallahu Ta'la Anho Ashkar Hai Un Me Huzur Sarwar
Alam ‫ ﷺ‬Ka Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Ki Zubani Sidiq E
Akbar Radiallahu Ta'la Anho "Itaqa" Waadal"" Wagera Sunana
29 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Aur Unko Muqara Rakhna Bhi Shamil Hai Ke Wo Sab Hadees


Marfuh Ke Hukm Me Hai.
Saniyan : Yeh Khud Ayat Karima :
Aur Ijma Ke Muaraz Hai Jiski Ruh Se "Itaqa" Ka Misdaq
Abubakar Radiallahu Ta'la Anho Hai.
Saniyat Yeh Jo Kaha Ke :
"Ambiyah Allaysallato Salam Hidayat Aqli Se Mustshana
Hai."
Musthna Hona Muslim, Hidayat Aqli Ka Dawa Ajab Hai Ke
Masla Sam'ayat Se Hai Na Ke Aqliyat Se.
Raj'a :
Khair Ul Baria " Ke Umum Ka Makhsus Hona To Aapne Bhi
Maan Liya To Hadees Ka Mafhu, Zai Thhehra, Aur Hadees
Khabar Ahad Hai To Zani Ul Sabut Hone Ke Sath Zani Ul
Dalalat Bhi Hui , Phir Esi Hades Ayat Ke Qatai Ul Sabut , Qatai
Ul Dalalat Hai Ke Muaraz Kyon Kar Ho Sakti Hai ?
Khamsa : Pehle Ahadees Kashira Wa Ajmah E Ummat Se
Muaraze Ka Jawab De Dijiye, Phir Us Se Itsnad Kijiye Aur
Agar Tanha Yeh Hadees Ahadees E Kashira Aur Ijma E
Ummat Ke Muaraz Hai To Sabil Takhsis Wa Tawil Hai Ya Us
Ek Hadees Ko Lekar Ayat Wa Ahadees Wa Ijmah E Ummat
Sab Ko Rad Karna Hai ?
Sadsa : Khair Ul Barih" Ka Mafhum To Quran Karim Me Bhi
Warid Huwa ,
Yani
30 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Beshak Jo Imaan Laye Aur Ache Kaam Kiye Wahi Tamaam


Makhluq Me Behtar Hai. (Kanzul Imaan)
Ayat Karima Ka Sarih Mafad Yeh Hai K "Khair Ul Bariya" Ka
Misdaq Qayamat Tak Tamam Nekokar Musalman Hai. Zahir
Hai Ke Ayat E Karima Qatai Ul Sabut, Qatai Ul Dalalat Hai
Aur Uska Mafhum Aam Hai Jis Ka Misdaq Har Nekokar
Momin Hai, Aapki Paish Karda Hadees Jo Zani Ul Sabut Hai
Is Ayat Karima Ke Muaraz Hai , Au Zani Qatai Ka Muaraz
Kaise Ho Sakta Hai ? Lehaja Agar Taufiq Mumkin Na Ho To
Tarjih Qatai Ko Hogi Ya Zani Ko? Zaroor Qatai Raij
Thhehrega.
Sab'a : Hadees Bar Taqdir Sabut E Matan Zaroor Wajib Ul
Tawil Hai Ke Usko Uske Zahri Ma'ana Par Lena Mut'azar Hai
Ke Wo Ayat Ke Mauraz Hai, Ayat Ka Sarih Mafhum Yeh Hai
Ke : Jo Log Imaan Laye Aur Ache Amal Kare Wahi Tamam
Makhluq Me Behtar Hai. "Albata Ayat Ka Misdaq Awalin Bara
E Rast Sahaba E Kiram Radiallahu Ta'la Anhum Hai. Lehaja
Khair Ul Bariya Ek Mafhum Aam Hai Jo Bila Waliyat Sahaba
Radiallahu Ta'la Anhum Par Sadiq Aur Bila Waliyat Darja Ba
Darja Sab Se Ala Par Phir Uske Bad Jo Sab Se Ala Hai Us Par
Wa Ala Hiza Ul Qayas Jo Apne Mab'ad Se Fazal Me Bartar
Hai Is Par Sadiq Ata Hai.
Ayat Ke Is Mafhum Ka Taqaza Yeh Hai Ke Ali Khair Ul
Bariyah " Ka Manayeh Liya Jaye Ke : "Ali Baz Khair Bariyah
"Yani Ayat Karima Me Jis Giroh Ko Khair Ul Bariya Kaha
Gaya Aza Jumla Hazrat Ali Mushkil Kusha Bhi Hai, Ab Us
Surat Me Hadees Ka Mafhum Ayat Ke Muaraz Nahi Rahba
Balke Us Se Sirf Itna Sabit Hota Hai Ke Hazrat Ali Radiallahu
31 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ta'la Anho Apne Ma'baid Digar Sahaba Radiallahu Ta'la Anho


Me Sab Se Afzal Hai Yeh Nahi Ke Wo Ambiyah Wa Mursalin
Allaysalam Ke Bad Bashmul Khulfa E Salsa Radiallahu Ta'la
Anhum Sare Sahaba Radiallahu Ta'la Anhum Se Afzal Hai Ke
Yeh Mazkura Ayat Wa Ahadees Wa Ijmah E Ummat Balke
Khud Un Irshadat E Murtaza Ke Muaraz Hai Jo Mazkura Hue.
Lehaja Yeh Jo Aapne Kaha : Al Khair Ul Bariyah (Aki
Radiallahu Ta'la Anho Behtarin Makhluq Hai) Us Jagah Janab
E Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ko Sab Makhluq Se
Afzal Kaha Gaya, Is Se Murad Sari Ummar Sare Sahaba
Radiallahu Ta'la Anhum Hai.
Is Par Aap Se Sawal Hai Ke Kya Quran Me Mazkur "Itqa" Ke
Ijmai Ma'ana Ka Inkar Nahi Jiski Ruh Se "Itqa" Ke Misdaq Sirf
Sidiq E Akbar Radiallahu Ta'la Anho Hai Jiski Mauhid
Ahadees Kashira Marfuh Hai Jin Ki Tafsil Guzri Irshadat
Murtaza Jis Ke Misdaq Hai Jo Guzre.
Samnan : Masla Afzliyat Muatqad Se Hai Jis Ke Liye Bad
Sabut Nas Yaqin Qatai Nafi, Ahtmaal Darkar Aur Aapki Paish
Karda Riwayat Jo Ayat Ke Muaraz Ahadees Kashir Marfu Ke
Mustsadam Ijma E Ummat Ke Manafi , Jis Ke Irshadat
Mutrzwiyah Khud Nafi.
Ab Agar Is Riwayat Ki Sand Sahi Mutsal Bhi Ho Phir Bhi Itne
Muarazat Ke Bawjud Iska Matan Darja Sehat Ko Kyon Kar
Pohche, Aur Kyon Kar Sabit Ho Aur Pehli Manzil To Sabut
Hai, Phir Agar Kisi Tarah Sabut Maan Bhi Liyajaye To Qatai
Baroj Matlub Jo Muatqadat Me Darkar Ahi Wo Kaha, Phir Us
Se Istdalaal Kyon Kar Rawa ? Isi Muqa Par Ulma Kahte Hai :
32 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Tas'aa :
Jab Is Riwayat Ka Sabut Mahl Mana Me Hai To Apka Yeh
Kahna Ke :
"Yaha Sarkar E Do Alam ‫ ﷺ‬Ka Janab E Murtaza Radiallahu
Ta'la Anho Klo Sab Makhluq Se Acha Farmana Ek Hujjat E
Qawiah Shariah Hai.
Na Muslam Hai, Pehli Maznzil Difah Muaraza Aur Riwayat Ka
Man Hait Al Riwyat Al Dariyat Ul Sabit Hona Hai Jis Se Ohada
Bara Hona Aapki Zimedari Hai, Bilfarz Yeh Marhala Bhi Tay
Ho Jaye To Mu'atqadat Me Khabar Ahad Kyon Kar Maqbul Ho
? "Bilfarz" Maine Yun Kaha Ke Masla Aitqaadiyat Ka Hai
Yaha Riwayat Ke Man Hais Ul Sand Sahi Hone Ki Manzil
Mujthid Ke Nazdik Sehat Hadees Ki Hai Jo Yaha Mutsur Nahi
Ke Masla Ijtehadi Nahi Aitqadi Hai Lehaja Bil Farz E Galat
Agar Riwayat Har Do Taur Par Sahi Wa Sabit Bhi Ho Phir Bhi
Khabar Wahid Se Uper Taraqi Na Karegi Aur Baab Ul Aitqad
Me Qabul Na Hogi Aur Jab Muamla Yeh Hai To Us Se Istdalal
Apko Kya Mufid ? Aap Likhte Hai :
"Is Me Sarkar ‫ ﷺ‬Ki Khususiyat Nahi. ...

Aqau: Mazkura Jumle Se Tauheen Sarkar ‫ﷺ‬Zahiri Taur Par


Mafhum Nahi Hoti Albata Yeh Jumla Sakht Abham Wa Aiham
Rakhta Hai, Iska Ek Pehlu Yeh Hai Ke Khulfa E Salsa Par
Tafzil Ali Sari Ummat Ka Majmuah Aqeedah Hai Aur Huzur
‫ ﷺ‬Ka Bhi Yahi Aqeedah Hai Jis Par Jumla : " Is Me Sarkar ‫ﷺ‬
Ki Khususiyat Nahi Hai"
33 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Qarina Hai Aur Yeh Takzi E Ijma Hai Aur Sahaba Radiallahu
Ta'la Anhum Ki Taraf Ek Galat Bat Mansub Karna Hai Jisko
Khud Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ne Muqarar Na
Rakha Aur Uske Qayl Ko Muftari Farmaya Aur Had E Muftari
Ka Sazwar Qarar Dia Balke Yeh Huzur ‫ ﷺ‬Ki Taraf Wo Bat
Mansub Karna Hai Jiski Ruh Se Khud Un Ke Irshadat Babat
Khulfa E Salsa Jhute Thhehare To Yeh Nabi ‫ ﷺ‬Par Iftara Aur
Ta'amad Kazb Ke Qalil Se Hia Jis Pr Sarkar ‫ ﷺ‬Nwe Yeh Waeed
Irshad Farmai :
Aur Iska Ek Pehlu Yeh Hai Ke Muatqadat Me Kuch Ese
Muatqadat Bhi Hai Jin Me Huzur ‫ ﷺ‬Ki Khususiyat Hai Ummat
Ke Liye Sabil Jawaz Ke Un Aitqadat Ko Na Mane, Iska Sabut
Bazima Mudai Hai Aur Iska Hasil Bhi Guma Phira Kar Baz
Irshadat Nabwi Ko Rad Karna Aur Us Me Nabi ‫ ﷺ‬Ki Tauheen
Ka Khafif Pehlu Muzmar Hai, Kya Koi Nasbi Kharji Nahi Ke
Sakta Ke Abubakar Radialahu Ta'la Anho Ke Bare Me Jo Uska
Aqeedah Hai Wo Ummat Ka Majmau Aqeedah Hai Aur Jo Us
Ke Muqabil Hai Wo Sarkar ‫ ﷺ‬Ka Khaas Aqeedah Hai ?
Asara : Aap Farmate Hai :
"Sahaba E Kiraam Radiallahu Ta'la Anhum Ka Is Par Amal
Farmana........
Sahaba E Kiram Radiallahu Ta'la Anho Ne Beshak Hazrat Ali
Murtaza Karamullah Wz Ul Karim Ko "Khair Ul Bariya" Wa
Afzal Ul Khalq Aur Ambiya Murslin Allaysallam Ke Bad
Behtarin Awalin Wa Akhirin Mana, Magar Is Taur Par Jiska
Zikr Guzra Jiski Ruh Se Fazilat Bar Tartib Khilafat Hai To
34 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Khulsa E Salsa Radiallahu Ta'la Anhum Ke Bad Tamaam


Khalq Pr Martaba Murtaza Baala Hai.
Hadi Ashr : Aap Farmate Hai :
"Yeh Is Bat Ka Sabut Hai Ke Us Me Sarkar ‫ ﷺ‬Ki Khususiyat
Nahi Balke Ummat Ka Majmuai Aqeedah Hai."
Acha Hota Aap Is Jumle Ki Sharah Kar Dete, Khair Ab Bataye
Ke Aapke Is Farmaan Ka K : Is Me Sarkar ‫ ﷺ‬Ki Khususiyat
Nahi Hai." Kya Hasil Hai ? Kya Muqtqadat Me Koi Esa
Aqeedah Bhi Hai Jo Khass Sarkaar ‫ ﷺ‬Ka Aqeedah Ho Aur
Ummat Na Ho ?
Sani Ashr : "Ummat Ka Majmuai Aqeedah Hai."
Ji Isi Tartib Par Guzri, Isi Par Ijma E Ummat Hai, Is Ka Khilaaf
Kharq Hai, Iske Bar Khilaaf Aapka Dawa Rad E Ijma Hai Ya
Kuch Aur ? Ayat Ka Mafaad Jo Mazkur Huwa Aur Ahadees E
Marfua Sarkar ‫ ﷺ‬Aur Irshadat E Murtaza Ka Kya Jawab ?
Salas Ashr : Aap Farmate Hai :
"Yaha Koi Taweel Mumkin Nahi Hogi."
Is Par Sawaal Hai Ke Agar Koi Yeh Kahe Ke Ayat E Mazkura
Saf Pukar Rahi Hai "Khair Ul Bariyah " Ek Mafhum Aam Hai
Jo Har Momin Nekekar Par Mamul Hai, Aur Har Momin
Nekokar Is Mafhum Kuli Ka Fard Hai, Lehajad Yun Kahna
Sahi Hai :
To Ayat Aur Hadees Me Muqtza E Tatbiq Ke Bamaujb Hadees
Ka Mafaad Sirf Is Qadr Hai Ke Ali "Khairul Bariya" Mafhum
35 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

E Aam Ke Ek Fard Hai. Is Taur Par Hadees Ayat E Karima Ke


Mawafiq Hui Aur Wahm E Muarza Zail Huwa.
Ab Jab Ke Hadees Ka Is Taujiyah Wa Tatbiq Par Yeh Mafaad
Thhehra Ke Hazrat Ali Radiallahu Ta'la Anho Ek Fard Is
Mafhum E Aam Ke Hai To Is Se Awliyat Aur Afzaliyat E
Mutlqa Kaha Se Nikli ? Wo Shakhs Kahta Hai Ke "Khair Ul
Bariya' Ek Mafhum Kul Mushkak Hai Jo Ala Wa Adna Sab Par
Sadiq Ata Hai , Hadees Is Taujiya Par Mafhum Kuli Ka Ek Fard
Bil Farad Bayan Kar Rahi Hai, Rahi Yeh Bat Ke Wo Fard Is
Mafhum Ka Misdaq Awal Wa Ala Hai Ya Baz Ki Ba Nisbat
Aula Hai Hadees Me Iska Bayan Nahi , Yeh Dusri Dalil Se
Sabit Hogi, Aur Is Dalil Ko Dekha Jayega.
Us Shakhs Ki Yeh Bat Sahi Hai Ya Nahi ? Aur Agar Yeh Sahi
Hai To Hadees "Ali Khair Ul Bariya" Mafhum Ayat Ka Mafaad
Hai Aur Uske Ek Fard Ka Bayan Hai Jis Tarah Abubakar Wa
Umar Wa Usman Wa Digar Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Is
Ke Misdaq Aur Bil Awaliyat Is Ke Afrad Hai, Isi Surat Me Jab
Ke Baujiya Tatbiq Wa Taufiq Hadees Ka Mafaad Wo Thhehra
To Us Mafaad Ko Tawil Se Kya Alaqa ? Ke Taweel To Zahiri
Ma'na Se Pherna Hai.
Rab'ah Ashr :
Apke Taur Par Yeh Tawil Hi Sahi To Kya Yeh Tawil Sankh
Nahi ? Hai Aur Zaroor Hai, Isi Ko Aapne Kaha Tha Ke :
"Isme Koi Taawil Mumkin Nahi Hogi."
36 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Khams Ashr : Aap Hadees :


"Yeh Hadees Marfuh Hai Sarkar Do Alam ‫ﷺ‬Ka Janaab Ali
Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ko Tamaam Musalmano Ka
Sardar Farmana Jumla Ummat E Mohammadiyah Me Afzaliyat
Ki Kafi Dalil Nahi Hai Kya ?
Is Par Mu'araz Hai Ke Aapke Is Sawal Jawab Humare Sawalat
Jo Sadsan" Aur "Sab'an Me Guzre Un Se Roshan Hai, Mukhtar
Yeh Ke Pehli Manzil Sabut E Nas Ki Hai, Asbat E Hadees
Mohdeesin Ke Tarz Par Apki Zimedari Hai Lehaja Mu'atmadin
Aaima E Hadees Se Iska Baroja Kafi Sahi Wa Mutsal Hona
Sabit Kijiye, Phir Man Hais Al Dariya Iski Sehat Aur Uske
Hujjat Hone Par Dalil Qaym Kijiye ,Bar Taqdir Sabut Yeh
Khabar Ahad Hai, Idar Fazilat Sidiq E Akbar Par Ayat Ka
Mafaad Aur Khulfa E Salsha Radiallahu Ta'la Anhum Ke Bare
Me Ahadees Marfuah Mutwatar Aur Ijma E Ummat Uske
Muqabil Mutwafar Un Me Se Har Ek Naqail E Rad.
Sadas Ashr :
Yaha Bhi Tatbiq Wa Taufiq Mumkin Jiski Ruh Se Un Sab Par
Aur Us Par Bhi Amal Mutaisar, To Kya Wajh Hai Ke Ek Do
Ahad Ko Lijiye Aur Mutwatir Ko Chorde , Yeh Itabah E Nabi
Hai Ya Itbaa Hawa ? Yeh To Tanzalan Bar Taqdir Sabut
Hadees Muaraz Tha Agar Koi Yeh Kahe Ke Hadees Par Asar
Rauza Zahir Hai Jis Se Uska Mauju Hona Zahir Hai Aur
Muqam Par Imaamat Wajeh Ayat Wa Ahadees Wa Ijmah E
Ummat Ka Muaraz Hona Hai Itni Bat Matan Hadees Ke Gair
37 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Sabit Hone Ke Liye Kafi Hai Lehaja Hadees Agar Che Sahi Wa
Mutsal Ho Matan Bawasf Muaraz Darja Sabut Ko Na
Pohchega, Phir Tawil Wa Tatbiq Iske Liye Ki Jati Hai Jo Sabit
Ho Aur Jo Rawayat Wa Dariyat Gair Sabit Ho Wo Musthaq
Tawil Nahi Balke Rad Kia Jayega Isi Liye Naqaidan E Hadees
Me Se Ek Imaam Jalil Naqaid Basir Imaam Ibn Hajar Makki
Rehamtullah Allau Ne "Sawa Aqe Mahruqah " Me Tasrih Ki
Ke Yeh Hadees Mauju Hai.
Apki Isi Daur Mansur " Me Jiske Hawale Se Apne Wo Hadees
Darj Ki Yeh Riwayatein Bhi Thi :
Yeh Riwayate Bhi Mafhum Ayat Ki Tasdiq Kar Rahi Hai Aur
Saaf Bata Rahi Hai Ke Khair Ul Bariyah Ka Mafhum Aam Hai
Jiska Misdaq Har Momin Nekokar Hai , Aapne Un Riwayato
Se Sarf E Nazar Kyon Kia, "Daur Mansur" Me Jaha "Ali Khair
Ul Bariya Tha Wahi Hazrat Ali Radiallahu Ta'la Anho Se Yeh
Bhi Farmaya Gaya : Ant Wa Shai'atak" Is Dusri Riwayat Se
Bhi Apne Sarf E Nazr Kia Halake Is Ma To Ali Murtaza
Radiallahu Ta'la Anho Ka Bhi Zikr Tha, Is Sarf E Nazar Ki Kya
Wajh Hai Apka Wahi Dawa Ke :

"Ambiyah Allaysalam Hidayat E Aqli Se Mustsna Hai" Jis Ki


Ruh Se Aap Yeh Sabit Karna Chahte Hai Ke Hazrat Ali
Radiallahu Ta'la Anho Mutlaqan Khair Ul Bariyah Hai Aur
Apko Khulfa E Salsha Par Fazilat Hasil Hai Shayd Ye Dusri
Riwayat Me Hazrat Ali Radiallahu Ta'la Anho Ke Sath Dusro
Ko Shamil Kia Gaya, Apke Is Dawa Ke Munafi Thi Lehaja Use
Bhi Chhapa Gaye Masuliyat Ilmi Ka Taqaza To Yeh Tha Ke Jo
Apke Dawa Ke Muaraz Tha Us Ka Jawab Dete, Phir "Ali Khair
38 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ul Bariya" Ke Sabab Nazul Ka Alhaj Kijiye Us Se Wahi Sabit


Hota Hai Ke "Aki Khair Ul Bariya" Ayat Ke Mawafiq Aur Uski
Misdaq Aur Mafhum Am Ke Ek Fard Ka Bayan Hai Aur Yeh
Ke Ayat Apne Zahir Par Hai."
Ab Apne Jo Sawal Kia Ke :
"Sab Ilqaya Ka Sardar Farmana Sab Se Akram Hone Ki Dalil
Nahi Hai Kya ?
Humari Taqrir Iska Jawab Bilsawab Hai.
Phir Ap Kahte Hai :
"Yaha Sab Iltqa Se Iltqa Hona Kisi Hadees Ya Ayat Se Istnabat
Nahi Kia Gaya Balke Sarkar Do Alam Ne Ali Murtaza
Radiallahu Ta'la Anho Ko Mukhatib Farma Kar Sarahat Farmai
Ke Ali Murtaza Sab Iltqia Ka Sardar Ho Kar Akram Ul Ummat
Hai."
Kya Fazail E Murtaza , Jo Ayat Mutwatir Aur Ahadees E
Kashira Shehra Aur Ijmah E Ummat Se Sabit Wa Maruf E Khas
Wa Aam Hia Mohtajn E Sabut They ? Phir Un Ke Ashbat Ke
Liye Yahi Hadees Mauju Mili ?
Fazal Ali Ka Inkar Kon Sahi Ul Aqeedah Musalman Karega?
Is Tajahil Arifana Kya Elaj Hai Ke Batabah Huwa Tafzil Ali
Ke Darpe Ho Aur Khulfa E Salsha Ke Bare Me Ayat Wa
Ahadees Mutwata Wa Irshadat E Aima Ahle Bait Wa Ijma E
Ummat Aur Khud Afazat E Mutraza Sab Rad Thhehare Yeh
Jab Ali Ki Konsi Raush Hai Aur Tafzil Ali Ki Kaisi Haws Hai.
Jiske Aage Ayat Wa Ahadees Wa Ijma E Ummat Kisi Ki
39 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Parwa Nahi, Ek Khabar Wahid Ya Mauju Ke Age Sab Rad,


Phir Yeh Kaisa Mugalta Hia Ke Kisi Hadees Ya Ayat......
Yeh Wahi Ahadees Mutwatir Aur Ayat Se Bekhabar Banana
Hai Aur Ijma E Ummat Ka Nam Bhi Liya Aur Lete Bhi Kaise
Ke Pehle Apne Aqeeda Muzmuma Khayal Tafzil Ko Ummat
Ka Majmuai Aqeedah Bata Chuke Aur Yaha Tawatir Ko Rad
Kar Ke Khulfa E Salsha Radiallahu Ta'la Anho Ki Tafzil Ko
Kaise Ek Hadees Ya Ayat Ka Istnbat Batana Chahte Hai , Kya
Iska Sarih Mafad Yeh Nahi Ke Khulfa E Salsha Radiallahu
Ta'la Anhum Ki Tafzil Ek Firaoi Ijtehadi Istnbat Masla Hai, Is
Ke Barkhilaf Khulfa E Salsha Radiallahu Ta'la Anhum Par
Tafzil Ali Jo Apka Aqeedah Mazmuah Hai Wo Ummat Ka
Majmuai Aqeedah Hai ? Hai Aur Zaroor Hai Phir Muatqadat
Ko Firoi Aur Ijtehadi Masla Hona Kisne Thheraya ? Aur Ijmah
E Ummat Se Khilaaf Kis Ne Rawa Rakha ? Zahir Hai Ke Ese
Koi Rawa Na Rakhega. Kya Muamal Yeh To Nahi Ke Jab
Ijmah E Ummat Ka Khayal Aya Aur Yeh Jana Ke Is Ka Khilaaf
Kisi Ko Manzur Na Hoga To Ijmah E Ummat Jo Udhar Tha
Palat Kar Idhar Kar Dia.
Yeh Kaisi Zabrdasti Hai Ke Khulfa E Salsa Radiallahu Ta'la
Anho Ki Fazilat Ka Muamla To Istnabati Thhehraya Aur Is
Tarah Use Ek Firao Ijtehadi Masla Qarar Dia Take Rah E
Ikhtlaf Nikle, Chale Aapke Taur Par Yahi Sahi , Ab Zara Yeh
To Kahe Ke Jab Yeh Istnabati Thheraya To Uska Muqabil
Ijmahi Kaise Ho Gaya ? Kya Yeh Dabe Lafzo Me Yeh Batana
Nahi Ke Isko Istnabati Yuhi Kah Dia Haqiqtan Wo Aapke
Nazdik Istnabati Nahi Ke Apke Taur Par Jo Ijmai Hai Us Se
Ikhtlaaf Ki Gunjaish Nahi Aur Mukhlif Ka Aitbar Nahi, Jis
40 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Tarah Digar Mua'tqadat Me Mukhalif Ka Aitbar Nahi, Jis


Tarah Digar Muatqadat Me Mukhalif Ka Aitbar Nahi Kia Jata
Balke Wo Gumrah Thhehrta Hai, Ab Apki Is Taqrir Ka Yeh
Hasil Nahi Ke Apka Aqeedah Bar Haq Hai Aur Aap Hi Ahle
Haq Hai Aur Ahl Sunnaat Ka Aqeedah Batil Aur Gumrah Wa
Mubtal Wala Huwal Wala Quwat Ila Billah Il Aliyal Azim.
41 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Aap Likhte Hai :


"Istaz Abu Zahra Processer Jamia Azhar Misr Ke Bayan Se
Yeh Bat Samne Aa Gayi Ke Afzaliyat E Ali Murtaza Shiah Ka
Munfarat Aqeedah Na Tha.........
Yeh Dawa Khilaf E Waqeah Hai Ala Hazrat Imaam Ahl Sunnat
Ne Apni Kitab Musttab "Gait Ul Tahqeek Me Aima E Ahl Bait
Azhar Aur Khud Janaab Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ke
Jo Irshadat Darj Farmaye Un Se Is Daawe Ka Hal Roshan Hai.
Kitab Ul Must'tab Se Bataur E Namuna Chand Ibaratein Sadr
E Muqala Me Guzri, Qayl Ka Hukm Aur Us Dawe Ka Iftara
Wa Khilaf E Ijmah Hona Un Bayanat Se Roshan Hai Jo Guzre
Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Ki Mahabbat Ka Dum
Bharne Wale Aur Uske Nashe Me Ahadees E Syed Ul Murslin
‫ ﷺ‬Wa Ijmah E Muslmin Se Phirne Wale Aur Khud Ali Murtaza
Radiallahu Ta'la Anho Ke Irshad Se Ruh Garda Logo Ke Liye
Ek Yahi Muqarar Wa Mutwatar Irshad E Murtaza Kafi Hai :
"Main Jise Pauga Ke Mujhe Abubakar Wa Umar Se Afzal
Kahte Hai Use Muftari Ki Had Lagauga.
Qayl Zaroor Tafzili Gumrah Hai Jinhe Ahad E Qadim Me Shia
Ka Laqab Dia Gaya.
Az Ibteda Ta Inteha Aqeedah Mazmuah Ko Sabit Karne Ke
Darpe Aal Janab Isi Rawish Par Hai Ke Ek Aadh Hadees Jise
Apne Matalab Ke Mawafiq Samja Wahi Naqal Kar Laye Aur
Janaab Mukhalif Me Ahadees E Mutwatri Se Nazr Pherli, Yaha
42 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Bhi Ara'at Al Adab Bil Tazal Al Nasb " Se Ek Hadees Darj Ki


Jiska Tarjumah Yeh Hai :
"Roz E Qayamat Me Sab Se Pehle Ahl Bait Ki Shafa'at
Farmauga, Phir Darja Ba Darja Jayda Nazdik Quraish Tak, Phir
Ansar, Phir Wo Ahl Yaman Jo Ke Mujh Par Imaan Laye Aur
Meri Pairwi Ki Phir Baqi Arab Phir Ahl Ajam Aur Main Jiski
Shafa'at Pehle Karuga Wo Afzal Hai."
Aur Is Se Pehle Ala Hazrat Allayrehma Ne Quraish Ke Bare
Me Jo Hadees Darj Ki Us Se Ankhein Band Kar Li Wo Hadees
Yeh Hai :
Yani Quraish Roz E Qayamat Sab Logo Se Aage Hoge Au
Agar Quraish Ke Itra Jane Ka Khayal Na Hota To Main Unhe
Bata Deta Ke Unke Naik Ke Liye Allah Ke Yaha Kya Sawab
Hai. Isko Riwayat Kia Ibne Adi Ne Jabir Radiallahu Ta'la Anho
Se
Is Aqeedah Mazmuah Ke Mukhalif Ala Hazrat Allayrehma Ne
Jo Dalail Bahar Zikr Karke Jab Unka Kuch Jawab Na Ban Pada
To Yun Goya Hue :
"Ala Hazrat Fazil E Barelvi Allayrehma Ne Afzaliyat Ke Baab
Me Mukhtlif Aqwal Farmaye Magar Aqwal Az Qasam Istnabat
Wa Istdalal Hai Magar Yeh Hawala Apka Bazuban E Nabuwat
Hai.
Fatwa E Razwiyah 32/232
Kya Khulfa E Salsa Ke Babat Kuch Bazuban E Nabuwat Nahi
? Hai Zaroor Hai , Isi Kitab Mustab, Ara Ul Adab Me Quraish
43 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ke Mutliq Yeh Hadees Bhi Thi Jin Se Apne Sarf E Nazar


Farmate Hai ‫ ﷺ‬:
Kya Yeh Bazuban E Nabuwat Nahi ? Hai Aur Zaroor Hai , Phir
Inka Kya Jawab ? Kya Hasb E Sabiq Wahi Rawish Chalege ?
Ke Ek Kole Le Aur Tatbiq Wa Taufiq Ki Fikr Na Kare, Yeh
Wahi Rawish Hia Jo Shuruh Se Akhir Tak Chali Aa Rahi Hai
Yani Kuch Ko Mana Kuch Ko Na Mana.
Ala Hazrat Rehamtullah Allay Ke Paish Karda Aqwal Ke Bare
Me Ap Farmate Hia Ke Yeh "Az Qism Istnabat Wa Istdalal
Hai"
Yeh Wahi Bat Hai Jo Pehle Kahe Chuke Ke :
" Kisi Ayat Ya Hadees Se Istnabat Nahi Kia Gaya.....
Farq Itna Hai Ke Yaha "Istdalal Ka Lafz Jayda Kia, Ab Zara
Irshad Ho Ke Yeh Aqwal Jo Az Qabil Istnabat Wa Istdalal Hai,
Yeh Ayat Wa Ahadees Ke Mufahim Hai Ya Kuch Aur ? Yeh
Ayat Wa Ahadees Ke Mufahum Aur Unke Muzhar Aur Misdaq
Hai To Yeh Hukm E Ayat Wa Ahadees Me Hue. Ab Yeh
Mufahim Hadees Aur Wo Jo Bazuban E Nabuwat Hai Hadees
Wa Ma'ani Hadees Hone Me Yaksa Hai To Yaha Kon Sa
Taqabil Hai Jo Uske Qabul Ka Maujab Ho Aur Uske Rad Ka
Muqtza Ho ? Kya Koi Mujsam Bataur E Muarza Bil Qalb Yeh
Nahi Kah Sakta Ke Ibtal Par Aaima Ne Jo Aqwal Paish Kiye
Wo Az Qabil Istnabat Aur Istdala Hai Aur Yeh Hadees Ke :
Bazuban E Nabuwat Hai Balke Khud Quran Me Allah Ta'la Ka
Badlo Ke Saye Me Ana Aur Arsh Par Mustwa Hona Mazkur
Ahi Jo Is Mujsam Ke Taur Par Bazuban E Khuda Hai. Aur Yeh
44 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Aqwal Aima Az Qabil Istnbat Wa Istadalaal Hai, Phir Aapke


Nazdik Iska Kya Jawab ? Aur Jo Jawab Ap De Aapke Istdalaal
Ke Muqabil Wahi Humara Jawab Hai.
Kya Yeh Aqwal Jo Apke Baqaul Az Qabil Istdalal Wa Istnabat
Hai Kisi Hadees Ke Muaraz Hai Ya Muaraz Nahi ? Aur Muaraz
Hai To Wahi Muaraza Kya Hai? Taufiq Wa Tatbiq Mumkin
Hai Ya Nahi ? Ba Taqdir E Awal Unke Tark Par Kya Baish Aur
Sharah Sharif Se Konsa Amar Unhe Chordhne Ka Muqtza ?
Bar Taqdir Sani Yani Jab Taufiq Wa Tatbiq Mumkin Na Ho To
Sabil Tarjih Hai, Ab Zani Wa Qatai , Ahad Wa Mutwatar Me
Bazahir Mut'araz Hai To Tarjih Qatai Wa Mutwatar Ko Hogi
Ya Jani Wa Ahad Ko ? Apke Tarz Se Malum Hota Hai Ke Agar
Apko Koi Hadees Bazahir Aapke Mawafiq Mil Jaye To Istdalal
Wa Istanbat Sab Rad, Apke Baqaul Yeh Hawala Bazuban E
Nabuwat Hai Aur Uske Muqabil Jo Kuch Hai Az Qalil Istnabat
Wa Istdalal Hai, Ab Istnbat Ke Babat Ek Hadees Sun Lijiye Jo
Yun Hai :
Yani Hazrat Abdullah Bin Umar Wa Ibn Al'as Radiallahu Ta'la
Anho Se Marwi Hai Ke Rasoolallah Bazuban E Nabuwat Hai
Balke Khud Quran Me Allah Ta'la Ka Badlo Ke Saye Me Ana
Aur Arsh Par Mustwa Hona Mazkur Ahi Jo Is Mujsam Ke Taur
Par Bazuban E Khuda Hai. Aur Yeh Aqwal Aima Az Qabil
Istnbat Wa Istadalaal Hai, Phir Aapke Nazdik Iska Kya Jawab
? Aur Jo Jawab Ap De Aapke Istdalaal Ke Muqabil Wahi
Humara Jawab Hai.
Kya Yeh Aqwal Jo Apke Baqaul Az Qabil Istdalal Wa Istnabat
Hai Kisi Hadees Ke Muaraz Hai Ya Muaraz Nahi ? Aur Muaraz
Hai To Wahi Muaraza Kya Hai? Taufiq Wa Tatbiq Mumkin
45 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Hai Ya Nahi ? Ba Taqdir E Awal Unke Tark Par Kya Baish Aur
Sharah Sharif Se Konsa Amar Unhe Chordhne Ka Muqtza ?
Bar Taqdir Sani Yani Jab Taufiq Wa Tatbiq Mumkin Na Ho To
Sabil Tarjih Hai, Ab Zani Wa Qatai , Ahad Wa Mutwatar Me
Bazahir Mut'araz Hai To Tarjih Qatai Wa Mutwatar Ko Hogi
Ya Jani Wa Ahad Ko ? Apke Tarz Se Malum Hota Hai Ke Agar
Apko Koi Hadees Bazahir Aapke Mawafiq Mil Jaye To Istdalal
Wa Istanbat Sab Rad, Apke Baqaul Yeh Hawala Bazuban E
Nabuwat Hai Aur Uske Muqabil Jo Kuch Hai Az Qalil Istnabat
Wa Istdalal Hai, Ab Istnbat Ke Babat Ek Hadees Sun Lijiye Jo
Yun Hai :
Ne Farmaya : Ilm Tin Hai Jo Unke Masiwa Hai Wo Fuzul Hai
: Muhakam Ayat Sunnat E Sabita Ya Wo Hukm Jo Un Dono
Ke Barabar Ho."
Yeh Bhi Bazuban E Nabuwat Se Hai Istnabat Ka Aitbar Sabit
Hai Use Mutlqan Rad Karna Bamazhab Gair Muqlidin Ki Adat
Hai Aurt Tas'hi Aur Itbah E Hawa Ka Yahi Anjam Hai Ke
Admi Apni Khawaish Ke Mutabiq Koi Hadees Ya Ayat Paye
Use Le Le Aur Jo Mukhalif Hawa Ho Use Chordh Bethhe, Kya
Shuruh Se Lekar Akhir Tak Aap Isi Rawish Par Gamzan Nahi
? Hai Aur Zaroor Hai.
Hadees Par Tabsra Karte Hueu Ap Raqam Taraz Hai :
"Main Puri Ummat Me Sab Se Pehle Apni Ahl Bait Ki Shafa'at
Karuga"
Yeh Sugra Huwa : Aur Jiski Main Sab Se Pehle Shafa'at Karuga
Wo Sab Se Afzal Hai
46 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Yeh Kubra Huwa :


"Meri Ahl Bait Puri Ummat Se Afzal Hai "
Yeh Natija Muntqiya Hai.
Zara Irshad Huwa Kya Yeh Wahi Istdalal Nahi Hai Ke Jise
Abhi Ap Aur Us Se Pehle Rad Kar Chuke Apne Jumle Yad Kar
Lijiye.
"Kisi Hadees Ya Ayat Se Itnabaat Nahi Kiya Gaya Wagera"
Kya Ab Koi Aapse Sikh Kar Aap Hi Ki Bat Dohra Nahi Sakta
Ke Yeh Az Qasm Istdalaal Hai Aur Isi Jagah Par Isi Kitab Me
Se Jab Apne Na Liya Yani Quraish Ali Muqdmat Wagera. Wo
Hawala Bazuban E Nabuwat Hai Aur Isi Tarah Boht Sare
Hawale Sidiq E Akbar Radiallahu Ta'la Anho Wagera Ke Bare
Me Bazuban E Nabuwat Hai Akhir Kyon Aap Unhe Pash Pusht
Dal Rahe Hai ? Apka Yeh Dohra Mu'ayar Har Azar Wale Ka
Nazr Aa Gaya Ke Apne Mukhalif Bato Ka Jawab Jab Ban Na
Pada To Yeh Kah Dia :
"Magar Aqwal Az Qasam Istnabat Wa Istdalaal Hai."
Phir Yaha Kyon Istnabat Ka Sahara Le Rahe Hai Aur Kyon Us
Se Sarf E Nazar Kar Rahe Hai Jo Hawale Bazuban E Nabuwat
Hai ? Kya Janaab Hi Ke Is Tarz Se Yeh Sabit Nahi Hota Ke Jo
Abhi Hum Kahe Aye Yani Agar Yeh Ayat Wa Ahadees Ke
Mufahim Aur Unke Mazhar Wa Misdaq Hue.
Aur Kya Khud Apne Yeh Na Bata Dia Ke Kabhi Kisi Nas Ke
Mafhum Ke Asbat Ke Liye Tartib E Muqdamat Wa Istdala
Mutaqi Ki Hajat Hoti Hai Aur Jo Is Se Sabit Huwa Wo Dar
Asal Nas Se Sabit Hota Hai.
47 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Jo Natija Apne Nikala Fazal E Ahl Bait Hasb E Maratib Ka


Inkar Koi Mohib Ahle Bait Nahi Kar Sakta Magar Yaha Yeh
Sawal Hai Ke Sugra Ka Sabut Kis Darje Me Hai ? Pehle Wo
Darja Bataye Aur Yeh Sabit Kijiye Ke Us Nas Ke Muaraz Koi
Nas Nahi , Aur Basurat Muaraza Koi Nas Hai Ya Nahi ? Agar
Hai To Riwayat Wa Dariyat Dono Hum Pala Hai Ya Koi Raij
Hai Aur Koi Marjuh ? Pehli Surat Me Dono Saqit, To Apko Is
Se Istdalal Kya Mufid? Aur Dusri Surat Yaah Kyon Kar Mutsur
Zani Al Sabut Qatai Al Sabut Se Kyon Kar Raij Hoga ? Aur
Zani Al Dalalat Bat Aitqad Me Kyon Kar Maqbul Hoga ? Bil
Jumla Pehli Manzil Sufara Ka Ashbat Batarz E Matlub Zaroori
Hai, Kya Ap Is Marhale Se Guzr Chuke ? Aur Jab Sugar Hi
Sabit Nahi To Natjia Jaise Nikelga? Kya Koi Yaha Yeh Nahi
Kah Sakta Ke Sidiq E Akbar Radiallahu Ta'la Anho Ki
Akramiyat Wa Afzaliyat Khud Roshan Taur Par Bara E Rast
Ayat E Karima Se Sabit Hai Aur Uska Kubra Quran Me
Mansus Hai Jo Apke Kubra Ke Muaraz Hai, Kya Apne Yeh
Muaraza Dafa Farmaya, Jab To Apka Kubra Bafarz E Galat
Salamat Hai Warna Quran Ka Mansus Kubra Salamat Hai Aur
Isi Ko Manane Me Apki Salamati Hai Aur Sugra Bhi Quran Me
Mansus Hai Jiska Misdaq Ahadees Mutwatir Wa Ijma E
Ummat Ki Roshni Me Sirf Aur Sirf Sidiq E Akbar Radiallahu
Ta'la Anho Hai Jaisa Ke Guzra To Shakl Awal Se Muqdama
Yun Huwa :
48 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Is Muqdame Ka Rad Kia Quran Wa Hadees Wa Ijmah E


Ummat Sab Ka Rad Nahi. Hum Pehle Hi Bata Chuke Ke
Anokhe Mohqeek Anokhi Tahqeek Se Ijmah Muslimin Ke Rad
Ke Darpe Hai , Yaha Hadees E Mazkura Par Tabsara Karte
Karte Ameer Ul Mominin Ali Murtaza Karamullah Wz Ul
Karim Ke Babat Bar Khilaaf Ahl Sunnat Tafzil Se Aage Bad
Kar Sahaba E Kiram Rizwanullah Ta'la Allay Azmain Ke Bare
Me Ahl Sunnat Ka Jo Aqeedah Hai Aur Un Me Bahum Jo Farq
E Maratib Hai Un Sab Ka Inkar Karte Hai Aur Hadees Ka
Natija Yun Nikalate Ahi, Nazrin Soche Kya Yeh Hadees Ka
Natija Hai ? Kya Yeh Itbah E Sunnat Hai Ke Ek Aadh Hadees
Jise Apne Matalab Ki Samj Le. Aur Baqi Se Sarf Nazar Kare,
Ab To Khul Gaya Ke Tahqeek Ke Nashe Me Ijmah E Ummat
Ka Inkar Kia Hai Aur Aa Janaab Mazhab E Ahl Sunnat Se Aur
Sabil Muslimin Se Dur Pade Aur Nai Tahqeek Ke Paimane Me
Badmazhabi Ki Purani Sharab Paish Ki Hai Aur Tashih Ki
Taraf Qadam Badaya Hai :
Aur Ijma E Ummat Ko Rad Karne Ka Yahi Anjam Hai.
Kya Janaab Ka Yeh Irshad Ke :
"Ab Jumla Sahaba E Kiram Khulfa E Rashdin , Baman Ashar
Mubashara , Hazrin Badr, Hazrin Ohad,Ahl Bait Rizwan Al
Garz Jumla Aqsam Sahaba Kiram Ummati Hai
Is Jumle Me Khulfa E Rashdin Wagera Hum Mazkurin Ka Zirk
Tahkhshis Bad Taeemim Hai Ya Kuch? Aur Jab Takhsis Bad
Taeemim Hai To Takhsis Mazkurin Darja Ba Darja Mazkur
49 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Hazrat Ki Fazilat Aur Usme Tartib Wa Tafawat Ka Jo Pata De


Rahi Hai Kya Ap Hi Ke Aitraf Se Unmazkurin Ala Jal Khusus
Ka Jumla Sahaba E Kiram Se Afzal Hona Sabit Nahi Hota ?
Hota Hai Aur Zaroor Hota Hai , Ab Zara Yeh Irshad Ho Ke
Yeh Takhsis Kis Dalil Ke Bamujab Hai Wo Dalil Ijmai Hai ?
Agar Esa Hai To Kya Ap Hi Ke Aitraf Se Un Makhsus Ka
Digar Tamam Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Se Afzal Hona
Ijmai Amar Huwa Ke Nahi ? Taqdir Sani Par Kya Dalil Hia ?
Aur Jab Ye Bar Taqdir Awal Yani Jab Ke Yeh Ijmai Amar Hai
To Use Muaraz Apki Paish Karda Wo Hadees Kaise Ho Sakti
Hai ? Ke Wo Khabar Wahid Hai Aur Ijma E Mutwatir Ke
Hukm Me Hai Jiski Ruh Se Sand E Ijmah Bilfarz Humare
Aitbar Se Khabar Wahid Bhi Ho Magar Ijmah Jisko Talqi Bil
Qaul Lazim Hai Usko Mutwatar Ke Hukm Me Karta Ahi Aur
Yaha To Sirf Ijmah Hi Nahi Khulfa E Rashdin Radiallahu Ta'la
Anho Ke Fazal Par Aur Bahasb Khilafat Unki Tartib Fazilat
Par Tawatir Ahadees Hai Phir Yeh Khabar Wahid Ijmah E
Tawatir Ahadees Ki Muaraz Kaise Ho Sakti Hai ?
Aur Apka Yeh Qaul Ke :

Jis Se Ap Un Makhsus Par Fazilat Ahl Bait Batana Chahte Hai,


Kyon Kar Sahi Thheharega Aur Us Se Apka Yeh Maqsud Kyon
Kar Hasil Hoga ? Phir Ahl Bait Me Wo Bhi Hai Jo Gair Sahabi
Wagera Tabaee Hai Unki Tafzil Un Par Aur Tamaam Sahaba
Radiallahu Ta'la Anhum Par Jo Aapke Is Muqale Ka Hasil Hai
Kya Ijma Ka Inkar Darkinar Nahi ? Hai Aur Zaroor Hai. Phir
Is Tanaqiz Par Nazar Kijiye Ke Khud Hi Pehle To Wo Bat Kahi
50 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Jis Se Tamam Ahl Bait Ki Tafzil Un Makhsusin Jin Me Hazrat


Ali Radiallahu Bhi Hai Wagera Hum Aur Umum Sahaba
Radiallahu Ta'la Anhum Par Nikli Phir Hadeees Ko Hazrat Ali
Radiallahu Ta'la Anho Me Munhasar Kar Dia, Chunache Likha
:
"Aur Ek Ma'ani Me Janaab E Ali Murtaza Radiallahu Ta'la
Anho Ko Ahl Bait Me Afzaliyat Haisl Hai Kyon Ke Jumla
Hasmi Mah Ahl Bait Rasool Ke Janab Murtaza Radiallahu
Ta'la Anho Ko Afzal Samjte They."
Phir Iska Hasil Hazrat Ali Murtaza Rziwanullah Azmain Ka
Jamih Sahaba Radiallahu Ta'la Anhum Par Muqdam Hona Hai
Aur Yeh Wahi Fazilat Ala Tartib Al Khilafat Ka Inkar Hai Jiske
Janaab Darpe Hai Agar Che Abhi Is Hadees Par Tabsira Karte
Hue Kah Chuke Ke :
"Sahaba E Kiram Khulfa E Rashdeen.............
Aur Hazrat Ali Radiallahu Ta'la Anho Ka Istsna Na Kia Balke
Ahl Sunnat Ki Is Tartib Ko Muqrar Rakha Jiski Ruh Se Khulfa
E Rashdeen Abubakar, Umar,Ushman, Ali Radiallahu Ta'la
Anho Hai, Yeh Bhi Tanaqiz Hai Iska Kya Jawab Hai Aur Yaha
Jo Dawa Kia Hai Yeh Ahl Sunnat Ka Mazhab Nahi Balke Gali
Shia Ka Aqeedah Hai.
Aap Farmate Hai :
Argarz Jumla Aqsan Sahaba E Kiram Radiallahu Ta'la Anho
Aur Sirf Ahle Bait Hi Ahl Bait Hai Aur Ahl Bait Jumla Ummat
Se Afzal Hai :
51 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Is Jumle Ka Zahiri Mafad Kya Hai ? Aur Jumla


"Ahl Bait Hi Ahl Bait Hai"
Ko Jab Jumla Sabqa Ke Sath Mila Kar Dekha Jaye To Muqabil
Saf Zahir Hai Ab Yeh Taqabil Kya Ma'ani Deta Ahi ? Yahi Na
Ke
"Algarz Jumla Aqsam Sahaba E Kiram Ummati Hai Aur Ahle
Bait Hi Ahl Bait Hai"
Yani Wo Ummati Nahi.
Pehle To Janab Ne Tafzil Ali Ke Josh Me Dabe Lafzo Me Apna
Firqa Amamiyah Se Hona Zahir Kia Jo Nabi ‫ ﷺ‬Ke Bad Hazrat
Ali Radiallahu Ta'la Anho Ko Imamat Ke Liey Mutaeen Aur
Tamaam Sahaba Radiallahu Ta'la Anho Par Muqdam Samja
Jaisa Ke "Malal Wa Manhal" Me Hai Aur Yaha Is Se Bhi
Tajwaz Karke Ahl Bait Ko Ummati Hone Se Nikala, Ab Jab
Ke Ahl Bait Ummati Ke Mugar Wa Maqabil Hai To Unki
Haishiyat Apke Nazdik Kya Hai ?
Kya Unke Liye Asmat Sabit Karege ? Kya Yeh Ek Martaba
Phir Shiyat Ki Taraf Paish Qadmi Nahi ?
Phir Aap Faramte Hai :
Aur Ahl Bait Jumla Iqsam Ummat Se Afzal Hai"
Iski Ruh Se Gair Sahabi Ki Tafzil Sahaba Par Saaf Zahir Hai,
Kya Yeh Ayat Wa Ahadees Wa Ijma E Ummat Sab Ka Rad
Nahi ? Apke Jumle Ka Mafad Yeh Hai Ke Ahl Bit Ki Tafzil Is
Wajh Se Hai Ke Wo Ahl Bait Hai Aur Apke Jumle :
52 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

"Al Garz Jumla Aqsam Sahaba E Kiram Radiallahu Ta'la


Anhum Ummati Hai"
Ka Zahiri Pehlu Is Mufaad Ka Mauhid Hai Jis Se Zahir Hai Ke
Aapke Nazdik Unki Tafzil Is Wajh Se Hai Ke Wo Ummati
Nahi Balke Ahl Bait Hai. Unke Ummati Hone Ka Inkaar Jo
Aap Ke Jumle Ka Zahiri Mufaad Hai Kis Dalil Par Mabni Hai
Irshad Ho Aur Koi Dalil Nahi Quran Wa Hadees Wa Ijma E
Ummat Ki Roshni Me Is Qaul Ka Hukm Aur Hukm E Qayl
Irshad Huwa , Aapke Nazdik Ahle Bait Hona Hi Sab Par Fazilat
Ki Wajh Sahi Magar Quran Ne Fazal Ki Buniyad Jis Bat Par
Rakhi Uska Bayan Fazilat Sidiq E Akbar Ke Baab Me Se Guzra
Niz Quraan Majid Farmata Hai :
Tarjuma :
Aur Jo Sabqat Le Gaye Wo To Saqbat Hi Le Gaye Wahi
Muqrab Bargah Hai.
Niz Farmata Hai :
Tarjumah
Aur Sab Me Agle Pehle Muhajir Aur Ansar Aur Jo Bhalai Ke
Sath Unke Pairo Hue Allah Un Se Razi Wo Allah Se Razi Aur
Unke Liye Tayar Rakhe Hai Baag Jinke Niche Nahre,
Humaresha Humesha Un Me Rahe Yahi Badi Kamyabi Hai.

Tarjumah :
Quran Karim Ne Muhajirin Wa Ansar Me Sab Se Aglo Pehlu
Ki Afzliyat Par Nas Farmai Aur Saeed Bin Musib Aur Ek Jamat
53 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ke Qual Ke Mutabiq Yeh Wo Log Hai Jinhone Dono Qiblo Ki


Tarfa Muh Karke Namaz Padi Aur Imaam Shafai Ke Ashab Ki
Raye Me Sabqin Awalin Se Murad Wo Log Hai Jo Bait E
Rizwan Me Hazir They Aur Bait E Rizwan Hudaibiyah Me
Hone Wali Bait Hai Aur Yeh Qaul Sh'abhi Ka Hai, Aur
Mohammad Bin Ka'ab Aur Ata Bin Yasaar Se Manqul Hai Ke
Wo Sabqin Awalin Ahl Badr Hai. Aur Is Par Sab Ka Itefaq Hai
Ke Jo Log Tahwil Qibla Se Pehle Hijrat Karke Aaye Wo
Muhajirin Awalin Se Hai Us Me Kisi Ka Ikhtlaaf Nahi, Rahe
Wo Jo Sab Se Afzal Hai To Abu Mansur Bagdadi Taimi Ne
Kaha : Humare Ashab Ka Is Bat Par Ijma Hai Ke Un Sab Se
Afzal Char Khulfa Hai, Phir Ashara Mubrashara Me Se Tamam
Ashar Tak Baqi Rahne Wale 6 Sahab Hai Phir Badri Sahaba,
Phir Ashab E Ohad, Phir Wo Jinhone Hudaibiyah Me Bait E
Rziwan Ki.
(Yaha Tak Hijrat Me Pehal Karne Wale Mazkur Hue) Rahe Wo
Jo Sab Se Pehle Islam Laye To Mujla Ne Shaibi Se Riwayat
Kia , Unhone Kaha : Maine Syedna Ibne Abbas Radiallahu
Ta'la Anho Se Puchha : Sab Logo Se Pehle Islam Kon Laya ?
Unhone Farmaya : Abubakar Radiallahu Ta'la Anho, Kya
Tumne Hasan Bin Sabit Radiallahu Ta'la Anho Ka Qaul Na
Suna : Jab Tumhe Kisi Mu'atmad Ki Gum Angez Yad Aaye To
Apne Bhai Abubakar Radiallahu Ta'la Anho Ko Unke
Karnamo Ke Sath Yad Karo Jo Nabi ‫ ﷺ‬Ke Bad Tamaam Logo
Me Sab Se Behtar Sab Se Jayda Parhezgaar Aur Sab Se Jayda
Adal Wale Aur Jis Zimedari Ke Muthmal Hue Usko Sab Se
Jayda Pura Karne Wale Nabi ‫ ﷺ‬Ke Sath Gar Me Do Jano Ke
54 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Dusre, Nabi ‫ﷺ‬Ke Piche Chalne Wale Satuda Hal Aur Logo Me
Sab Se Pehle Rasoolo Ki Tasdiq Karne Wale.
Abu Alfarj Ibn Al Jauzi Ne Yusuf Bin Yaqub Bin Majshun Se
Hikayat Zikr Kia Ke Unhone Farmaya : "Maine Apne Baap Aur
Apne Shaikh Mohammad Bin Munkar Rawa Rabia Bin Abhi
Abdul Rehmaan Aur Saleh Bin Kisan Aur Sa'ad Bin Ibrahim
Aur Ushman Bin Mohammad Akhnmsi Ko Paya Ke Unhe Is
Bat Me Shak Na Tha Ke Sab Se Pehle Islam Lane Wale
Abubakar Radiallahu Ta'la Anho Hai Aur Yahi Qaul Ibn
Abbas, Hasan Aur Asma Bin Abi Bakar Ka Hai Aur Ibrahim
Nakhai Ne Yahi Qaul Kia Hai. Imaam Qurtabi Ne Is Qaul Ko
Muqdam Rakha Aur Bauja Taqdim Is Qaul Ka Raij Hona
Bataya Aur Digar Aqwl Ko "Qayl" Se Tabeer Kia, Chunache
Farmate Hai : "Aur Kaha Gaya : Sab Se Pehle Islam Lane Wale
Ali Murtaza Radiallahu Ta'la Anho Hai. Yeh Qaul Zaid Bin
Arqam Aur Abu Zar Aur Muqdad Wagera Hum Se Marwi Hai,
Hakim Abu Abdullah Ne Kaha Ke Is Maurikhin Ke Darmiyan
Is Bat Me Koi Ikhtlaaf Nahi Janta Ke Ali Radiallahu Ta'la Anho
Islam Me Sab Se Pehle Hai. "Aur Kaha Gaya : Sab Se Pehle Jo
Islam Laye Wo Zaid Bin Harish Radiallahu Ta'la Anho Hai.
Aur Ma'mr Ne Isi Ke Hum Ma'na Zahra Se Hikayat Kia Aur
Yeh Suleman Yasar Aur Arwa Ibne Zubair Aur Umar Bin Abi
Anas Ka Qaul Hai. "Aur Kaha Gaya Ke : Umuml Mominin
Khadeejah Radiallahu Ta'la Anho Sab Se Pehle Islam Layi.
Zahri Se Yeh Ma'na Mut'adad Tarq Se Marwi Hai Aur Yeh
Qaul Qatda Aur Mohammad Bin Ishaq Bin Yasar Aur Ek
Jamaat Ka Hai Aur Niz Yeh Hazrat Ibne Abbas Radiallahu
Ta'la Anho Se Marwi Hai Aur Mufsar Sa'lbi Ne Ulma Ke Itefaq
55 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ka Dawa Kia Is Bat Par Sab Se Pehle Khadeejah Radiallahu


Ta'la Anho Islam Layi Aur Yeh Ulma Ka Ikhtlaaf Khadeejah
Radiallahu Ta'la Anho Ke Bad Islam Lane Walo Ke Bare Me
Hai, Aur Un Riwayato Me Ishaq Bin Ibrahim Raho Yeh Hanjali
Tatbiq Dete They To Yun Kahte They : "Mardo Me Sab Se
Pehle Abubakar Radiallahu Ta'la Anho Imaan Laye Aur Aurato
Me Hazrat Khadeejah Radiallahu Ta'la Anho Aur Bacho Me
Hazrat Ali Radiallahu Ta'la Anho Aur Mawali Me Zaid Bin
Harsa Radiallahu Ta'la Anho Aur Gulamo Me Bilaal
Radiallahu Ta'la Anho Sab Se Pehle Islam Laye.
Wallahu Ta'la Alam.
Aur Mohammad Bin Sa'ad Ne Hadees Zikr Ki Kahte Hai
Mujhe Khabar Di Mus'ab Bin Sabit Ne Kahte Hai Mujh Se
Hadees Bayan Ki Abul Aswad (Mohammad Bin Abdul
Rehman Naufail Ne, Unhone Kaha :
"Zaid Radiallahu Ta'la Anho Ka Islam Lana Abubakar
Radiallahu Ta'la Anho Ke Bad Huwa Aur Yeh Chote Ya
Pachwe Musalmaan Hue."
Laish Bin Sa'ad Kahte Hai Aur Mujh Se Hadees Bayan Kui
Abu Aswad Ne Unhone Farmaya : Zubair Radiallahu Ta'la
Anho Islam Laye Aur Jab Wo 8 Sal Ke They , Aur Riwyat Hai
Ke Ali Radiallahu Ta'la Anho 7 Sal Ki Umar Me Islam Laye
Aur Ek Qaul Yeh Hai Ke 10 Sal Ki Umar Me.... Intia
Ayaat Karima Se Muhajirin Wa Ansar Radiallahu Ta'la Anhum
Me Se Sabqin Awalin Ki Fazilat Ibarat Nas Se Zahir Hai, Niz
Ayat Karima Jumla Sahaba Kiram Muhajirin Wa Ansar
Radiallahu Ta'la Anho Ki Fazilat Ki Mutzman Hai Aur
56 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Muhairin Wa Ansar Ism Musthaq Hai Aur Imshal E Muqam


Me Jab Mushthaq Par Koi Hukm Kia Jata Hai Arfa Is Hukm
Ke Liye Is Ka Mubda Ishtqaaq Alat Hota Hai Lehaja Is Tarz Se
Samj Me Ata Ahi Ke Nabi ‫ ﷺ‬Ki Sohbat Aur Unke Sath Ya
Unki Taraf Hijrat Aur Unki Nusarat Yeh Sab Asbab E Tafzil
Hai Aur Jo Log Un Aausaf Me Sabqat Ke Hamil Hai Wo
Saabqin Awalin Aur Dusro Par Is Wasf E Sabqat Ki Wajh Se
Mufzal Wa Muqdam Hai Aur Zahir Hai Ke Islam Aur Fazal
Sohabat Aur Hijrat Me Abubakar Radiallahu Ta'la Anho Ko
Sab Par Sabqat Hasil Hai Lehaja Wo Sabqin Awalin Ke Sab Se
Pehle Fard Jo Tamaam Sabqyin Awalin Se Afzal , To Unki
Fazilat Gair Sabqiyin Par Do Chand Hai.

Ahl Bait Ithar Ko Bhi Sarkar Abd Qarar Allaysalato Sallam Se


Nisbat Ki Wajh Se Fazilat Unki Shan Ke Layq Hasil Hia Jis
Tarah Sahaba E Kiram Rizwanullah Ta'la Allay Azmaeen Ko
Sarkar ‫ ﷺ‬Se Nisbat Ki Wajh Se Fazilat Hasil Hai Aur Usme
Unke Darjaat Wa Maratib Hai, Humara Yeh Kaam Nahi Ke
Hum Sahaba Aur Ahl Bait Radiallahu Ta'la Anho Ke Darmiyan
Mohababt Wa Takrim Me Farq Kare Aur Ba Itbah E Hawa Kisi
Ko Fazil Kisi Ko Mufzal Jane, Jab Dono Ko Nisbat Nabi ‫ ﷺ‬Se
Hai Aur Nabi ‫ ﷺ‬Ka Muamala Sab Se Uper Hai Aur Humare
Imaan Ka Taqaza Hai Ke Humari Khawaish Nabi ‫ ﷺ‬Ke Laye
Hue Deen Ki Tabeh Ho To Hum Dono Ke Sath Had E Adab
Par Rahe Hue Bab Tafzil Me Kitab Wa Sunnat Wa Ijma E
Ummat Ke Paband Hai Aur Is Muamale Ko Had Taufiq Par
Rakhte Hai Iske Bar Khilaf Mufza Ke Khariq Ijmah E Ummat
Hai.
57 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Kya Ahl Bait Ko Afzal Batana Isi Par Mauquf Hai Ke Ijmah E
Ummat Se Sarf E Nazar Aur Khud Aaima Ahl Bait Khisusan
Irshadat E Murtaza Ko Paise Pust Dala Jaye Aur Ayat Wa
Ahadees Se Chashm Poshi Ki Jaye.
Aa Janaab Ne Is Hadees Se Jo Aap Ne Zikr Ki Ke Yeh Natija
To Nikala Ke :
'Meri Ahl Bait Puri Ummat Se Afzal Hai."
Afsos Aapne Yeh Za'am Sarkar Abd Qarar ‫ ﷺ‬Ka Qaul
Thhehraya Aur Use Unki Taraf Mansub Kar Dia Aur Is Muaraz
Jo Irshadat E Sarkar ‫ ﷺ‬They Sab Se Bekhabar Kyon Ban Gaye
?
Zara Shafa'at Ka Lihaj Kar Ke Yeh To Bataye Ke Huzur ‫ﷺ‬
Tamaam Ahl Bait Ke Bare Me Yeh Farma Rahe Hai Ya Ahl
Bait Me Se Ek Jamaat Ke Bare Me Farma Rahe Hai.
Bataqdeer Shani Wo Kon Log Hai Jin Ke Bare Me Yeh Irshad
Huwa Ke :
"Main Jis Ki Shafa'at Karuga Wo Afzal Hai."
Zikr E Shafa'at Kin Logo Ka Pata Deta Hai Zara :

Yad Karke Bataye Kya Zikr Shafa'at Is Bat Ka Qarina Nahi Ke


Bat Ahl Bait Me Se Un Logo Ki Ho Rahi Hai Jinki Sarkar ‫ﷺ‬
Shafa'at Farmayege Aur Hadees Shafa'at Me Sarkar ‫ ﷺ‬Farma
Chuke Ke Meri Shafa'at Meri Ummat Me Se Ahl Kabbar Ke
Liye Hai, To Is Zikr Shafa'at Ne Bataya Ke Yaha Bat Ahl
Kabbbar Me Baham Tafaal Ki Hai Aur Unme Jo Nabi ‫ ﷺ‬Ke
58 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Khass Hai Wo Dusro Se Afzal Hai , Kyah Yeh Mutsur Hai Ke


Wo Nabi ‫ ﷺ‬Jo Quran Ka Yeh Irshad Sunaye Ke :
Aur Jo Farmaye Wahi Quran Ke Irshadat Ko Aur Khud Apne
Irshad Ko Yun Jhutlaye
59 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Ahle Sunnat Wa Jammat Se Umuman Aur Silsila Aaliya


Qadriyah Barkatiyah Razwiyah Se Wabsa Logo Ke Liye
Khususan Meri Nasiyat Hai Ke Maslak Ahl Sunnat Wa Jammat
Jisko Pehchan Ke Liye Maslak E Ala Hazrat Kaha Jata Hai, Par
Mazbuti Se Qaym Rahe, Bad Mazhabo Khususan Rafziyon ,
Qadyaniyon,Wahabiyon , Deobandiyon Aur Sule Kuliyon Se
Apne Aap Ko Dur Rakhe, Unki Sohbat Aur Un Se Mail Jhol
Ko Apne Aur Apne Imaan Ke Liye Zahar E Qatil Samje.
Aap Sab Hazrat Par Sab Se Aham Farz Imaan Wa Aqeede Ki
Hifazat Hai Lehaja Jis Idara Ya Khanqa , Tanzim Wa Tahrik
Ya Jis Shakhs Se Aapke Imaan Jane Ya Imaan Ke Kamzor
Hone Ka Khatra Ho Us Se Dur Rahe.
Jitne Idare Aur Khanqahe ,Ulma Wa Aima Mazhab E Haq Ahl
Sunnat Wa Jammat Maslak E Ala Hazrat Par Gamzan Hai
Unko Apna Samje Aur Dil Me Unki Azmat Rakhe Aur Jo
Maslak E Ala Hazrat Ya Tahqeeqat E Ala Hazrat Se Bagawat
Kare Un Se Dur Rahe.
Apne Ilaqo Me Azim Ul Shaan Madrase Aur Libarary S Qayam
Kare, Un Me Ache Pake Sunni Ulma Ko Ta'niyat Kare Un Ke
Rahne Sahne Aur Digar Zarooriyat Puri Karne Ka Ma'qul
Intzam Kare Phir Un Se Rabta Me Rah Kar Har Deeni Kam Me
Un Se Rehnumai Hasil Kare.
Ulma Wa Khutba Aur Aaima Hazraat Apne Apne Dars Wa
Khutbat Aur Jumuah Mubarak Ke Bayanat Me Bidaat Wa
Khuraafat Ki Tardid Ke Sath Sath Wahabiyah Wa Deobandiyat
60 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Aur Shiyyat Wa Suleh Kuliyat Ka Rad O Abtal Dalail Wa


Barahin Ke Sath Zaroor Karte Rahe Aur Mauqah Wa Mahal Ke
Aitbar Se Bujurgo Ka Tazkira Bhi Kare.
Madaaris Arbiyah Ke Zimdar Hazrat Liyaqat Wa Ist'adad Aur
Deeni Taslubb Ki Bina Par Asatza Ka Taqrir Kare Aur Masjid
Ke Mutwali Hazrat Aaima E Kiram Ki Zarooriyat Ke Lehaj Se
Unki Khidmat Kare, Aur Layaq Imaamat Ko Hi Imaamat Ke
Liye Muntkhab Kare.
Mulki Halat Ke Paish E Nazar Aap Apne Elaqo Me Ulma E
Ahl Sunnat Ki Hidayat Ke Mutabiq Amal Kare.
Sharai Council Of India Bareli Sharif Ke Seminaro Me Jin
Masail Par Faisla Ho Usi Ke Mutabiq Aap Faisla Aur Amal
Kare Aur Logo Tak Use Pohchane Ko Koshish Kare.
Aslaf E Kiram Khususan Imaam E Ahl Sunnat Ala Hazrat Quds
Sira Ki Tasnifat Ko Zaroorat Ke Mutabiq Mukhtlif Zubano Me
Shaya Karke Ghar Gahr Muft Pohchane Ki Koshish Kare.
Khud Bhi Saum Wa Salat Ke Aur Digar Nek Kamo Ke Paband
Rahe Aur Dusro Ko Bhi Paband Banane Ki Koshish Kare.
Khud Bhi Bure Kamo Se Dur Rahe Aur Dusro Ko Bhi Bure
Kamo Se Dur Rakhne Ki Koshish Kare. Humesha Har Jagah
Aur Har Kaam Me Ache Akhlaq Ka Muzahira Kare, Nek Kamo
Me Jayda Se Jayda Hisal Le.
Rizq E Halal Kamane Ke Liye Jad O Jahad Kare Aur Samaj
Me Paro Qar Ban Kar Rahe.
Apne Sadqat ,Zakat Aur Atiyat Dete Waqt Deeni Madarish Ka
Ta'aun Karna Na Bhule, Dame Dirme Qadme Sukhne Waqtan
61 Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooq -e- Aazam

Fa Waqtan Iski Madad Karte Rahe, Aur Unke Maqasid Ko


Paya Takmil Tak Pohchane Me Bhar Pur Hisa Le.
Daulat Mand Hazrat Gareeb Sunni Musalmano Ka Har
Mumkin Tauan Karke Unhe Khush Haal Banane Me Sargaram
Rahe Ke Ap Ke Maal Me Allah Ta'la Ne Unka Bhi Haq Rakha
Hai.
Apne Bacho Ko Asri Aur Duniaywi Talim Dilaye Magar Unhe
Islam Ke Buniyadi Aqaid Ki Talim Zaroor De Aur Imaam E
Ahl Sunnat Ala Hazrat Quds Sira Ki Talimat Se Aaga Karte
Rahe.
Mujhe Ummid Hai Ke Aap Meri Is Nasiyat Par Khud Bhi Amal
Karege Aur Dusro Ko Bhi Is Par Amal Karne Ki Talqin
Karege.
Maula Ta'la Hume Deen Matin Ki Jayda Se Jayda Khidmat
Karne Ki Taufiq Rafiq Ata Farmaye Humare Deen O Imaan Ki
Hifazat Aur Isi Par Humara Khatma Farmaye.

ٰ ‫آمنی یا رب العالمنی بجاہ رحمۃ للعالمنی صیل اہلل‬


‫تعال علیہ و آلہ و صحبہ اجمعنی و‬
‫بارک وسلم ـ‬

You might also like