0% found this document useful (0 votes)
406 views30 pages

Musalman Ka Aqeeda (Roman English)

Musalman ka Aqeedah

Uploaded by

Rimshaa Rafi
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
406 views30 pages

Musalman Ka Aqeeda (Roman English)

Musalman ka Aqeedah

Uploaded by

Rimshaa Rafi
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 30

Musalman Bacche

ka Aqeedah
(Sawal O Jawab ki Shakal Mein)

Transliterated by:
Faisal Sulaiman Hoode
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 1

Musalman Bacche
ka Aqeedah
(Sawal O Jawab ki Shakal Mein)

Transliterated by:
Faisal Sulaiman Hoode
2 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

Tamheed
Alhamdu lillah, was-salatu was-salam 'ala
Rasoolillah, wa ash-hadu alla ilaha illallah, wa
ash-hadu anna Muhammadan 'abduhu wa
rasooluhu, wa ba'du.
Aqeedah Islami 'uloom mein sab se ahem
aur buniyadi 'ilm hai, jis ke zariye banday ko
Allah Ta'ala ki ma'rifat hasil hoti hai, uski azmat
o wahdaniyat ka 'ilm hota hai. Bilashuba Islami
aqeedah ka ijmali 'ilm hasil karna mard o
khawateen par wajib hai, aur bachon ko bhi ibtida
hi se iski targhib o taleem di jani chahiye.
Agarche ke bacha Islami ahkaam ka buloogh ke
baad mukallaf hota hai lekin aqeedah ki buniyadi
baton ka 'ilm usay bachpan hi se diya jaye to yeh
uski behtareen tarbiyat ka zamin hai. Isi liye zair-
e-nazar kitaabcha ka naam "Musalman Bachay ka
Aqeedah" rakha gaya hai kyun ke is mein aksar
baatein aisi hain jinhein bachpan hi mein seekhna
chahiye, aur haan baaz baatein aisi bhi hain
jinhein samajhne ke liye kuch waqt aur umar
darkar hai.
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 3

Yeh dar asal Sheikh Ahmed bin Mubarak bin


Qadlan al-Mazroui hafizahullah ka Arabi kitaabcha
hai, jise maine kuch tasarruf aur dala'il ke izafay ke
sath Urdu mein naql kiya hai.
Allah Ta'ala se dua hai ke wo is koshish ko
qubool kare aur hamein sahi Islami aqeedah
seekhne ki taufeeq de. Ameen.

‫٭٭٭‬
4 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

MUSALMAN BACCHE
KA AQEEDAH
(Sawal O Jawab ki Shakal Mein)

1.Bando Par Sab Se Pehle Kounsi Cheez Wajib


Hai?
Ans: Bando Par Sab Se Pehle Allah Ki Fitri
Marifath Ke Zariye Towheed Ko Tasleem Karna
Wajeeb Hai.
Daleel: Abdulla Bin Abbas (R.A) Farmate Hai
Ke Allah Ke Rasool (‫ )ﷺ‬Ne Muaz Bin Jabal
(R.A) Ko Yaman Ki Taraf Bejte Huwe Farmaya:
Tum Ahle Kitaab Ki Ek Qoum Ke Pass Ja rahe
Ho, Sub Se Pehle Tum Une Towheed Ki Dawath
dena.(Bukhari & Muslim)
2.Allah Ne Hame kis Maqsad Ke Liye Paida
Kiya Hai?
Ans: Allah Ne Hame Sirf Apni Ibadath Ke liye
Paida Kiya Hai.
Daleel: Aur Mai Ne Jinnath Aur Insaano Ko
Mahaz Is liye Paida Kiya ke Wo sirf Meri Ibadath
Kare.
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 5

3.Ibadath Kise Kahte Hain?


Ans: Ibadath Bande ki Har Us Qoul wa Fail Ko
Kahte Hai Jis Ke Kahne ya Karne Ko Allah Tala
Pasand Karta Ho Aur Us Par Raazi Hota Ho,
Chahe Wo Qoul Wa Fail Zaaheri Ho Ya Baatini
Ho.
4.Ibadat ki kya kya misaalen hain?
Ans: Ibadat ki chand misaalen darj zeil hain:
1. Khauf (darna)
2. Raja (umeed rakhna)
3. Tawakkul (bharoosa karna)
4. Dua, Istighasa (madad talb karna)
5. Zibh waghera
Yeh tamaam ibaadatein sirf Allah ke liye honi
chahiye. Allah ke ilawa koi bhi inka mustahiq
nahi hai.
 Khauf ki daleel:1

1) Yahan khauf se muraad tabee khauf nahi hai jo insaan ki tabiyat mein hota
hai ke insaan har us cheez se darta hai jo usay takleef deti hai, jaise kisi darinda
se darta hai taake woh usay khaa na le. Aisa khauf shirk nahi kehlata hai.
Yahan khauf se muraad aisa khauf hai jis mein saamne walay ke tayin dil mein
mohabbat, ta'zeem, aur aajzi o inkisari ke jazbaat shaamil hon. Aur woh khauf
banday ko saamne walay ki itaat par ubhaare aur uski nafarmani se door rakhe.
Aisa khauf ibaadat hai, jo sirf Allah Ta'ala ke liye hona chahiye. Allah Ta'ala ke
siwa kisi aur se is tarah ka khauf khaana shirk hai.
6 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

Tum in kaafiron se na daro aur mera khauf rakho


agar tum moomin ho. [Ahsan al-Bayan: Surah
Aal-e-Imran: 3/175]
 Raja ki daleel:2
Jise bhi apne parwardigaar se milne ki arzu
(umeed) ho use chahiye ke naik aamaal kare aur
apne Rab ki ibaadat mein kisi ko bhi shareek na
kare. [Ahsan al-Bayan: Surah Al-Kahf: 18/110]
 Tawakkul ki daleel:
Aur tum agar moomin ho to tumhein Allah hi par
bharoosa rakhna chahiye.[Ahsan al-Bayan: Surah
Al-Ma'idah: 5/23]
 Dua ki daleel:
Aur tumhara Rab ka farman (sarzad) ho chuka
hai ke mujhse hi dua karo main tumhari duaein
qubool karunga. Yaqeen manao ke jo log meri
ibaadat se khud-sari karte hain wo abhi abhi
zaleel ho kar jahannum pohnch jayenge. [Ahsan
al-Bayan: Surah Al-Mu'min: 40/60]

2) Yahan umeed se muraad yeh hai ke banda Allah Ta'ala ke siwa kisi aur se
aise kaamon ki umeed na lagaaye jinke karne ki qudrat Allah Ta'ala ke ilawa
kisi aur ke paas na ho, jaise Allah Ta'ala ke siwa kisi aur se shifayabi ki umeed
karna, aulad dene ki umeed karna waghera. Allah Ta'ala ke siwa kisi aur se is
tarah ki umeed karna shirk hai.
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 7

 Istighasa ki daleel:
Us waqt ko yaad karo jab tum apne Rab se
faryaad kar rahe the phir Allah ne tumhari
faryaad sun li.[Ahsan al-Bayan: Surah Al-Anfal:
8/9]
 Zabh ki daleel:
Aap farmadijiye: bil yaqeen meri namaz aur meri
saari ibaadatein aur mera jeena aur mera marna
ye sab khaalis Allah hi ka hai jo saare jahaan ka
maalik hai. Is ka koi shareek nahi aur mujhe is ka
hukm hua hai aur main sab maan-ne walon mein
se pehla hoon. [Ahsan al-Bayan: Surah Al-An'am:
162-163]
5.Ibadath Ki Qabooliyath Ki Kya Sharthey
Hain?
Ans: Kisi Bhi Musalaman Ki Ibadath Ki Qabooliyath
Ki 2 Sharthey Hain.
1. Har Qisam Ki Ibadath Ko Allah Tala Ke
Liye Khalis Karna.
2. Har Qisam Ki Ibadath Me Nabi (SWA) Ki
Ittiba wa Pairawi Karna.
Daleel: Tho Jise Bi Apne Rab Se Milne Ki
Aarazu Ho Usse Chahiye Ke Neak Amal Kare
8 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

Aur Apne Rab ki Ibadath Me Kisi Ko bi Shareek


na Kare.(Surah Kahf: 110)
‫٭‬Ayath Me Amal E Salaeh‫( ٭‬Nek Amal) Se
Muraad Wo Amal Hai Jo Sunnath E Rasool Ke
Muaafiq Ho.
6.Deen Ke Kitne Maraatib Hain?
Ans: Deen Ke 3 Maraatib Hain.
1. Islam
2. Emaan
3. Ehsaan
Daleel: Mashoor Hadees Jise Hadees E Jibreal
Kaha jata Hai Is Me Deen Ke 3 Maraatib Ki
Tafseel Bayaan Ki gayi Hai.
7.Islam Kise Kahte Hain?
Ans: Towheed Ko Apnate huwe Khud Ko Allah
Ke Hawale Karna Ita’ath Ke Zarye Allah Ki
Farmabardari Karna Shirk Aur Ahle Shirk Se
Bara’ath Ka Izhaar Karna.
8.Islam Ke Kitne Arkaan Hain?
Ans: Islam Ke 5 Arkaan Hain.
1. Is Baath Ki Gawahi Dena Ke Allah Ke Ilawa
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 9

Koyi Haqeeqi Ma’bood Nahi Aur Muhammed


(‫ )ﷺ‬Allah Ke Rasool Hai.
2. Namaz Qaayim Karna.
3. Zakath Ada Karna
4. Ramzan Ke Roze Rakhna
5. Allah Ke Ghar Ka Haj Karna.
Daleel: Abdullah Bin Umar (RA) Se Riwayath
Hai Ke Rasool (‫ )ﷺ‬Ne Farmaya: Islam Ki
Buniyad 5 Chizo Par Qaayim Hai. Is Baath Ki
Gawahi Dena Ke Allah Ke Ilawa Koyi Haqeeqi
Ma’bood Nahi Aur Muhammed (‫ )ﷺ‬Allah Ke
Rasool Hai. Namaz Qaayim Karna, Zakath Ada
Karna, Haj Karna, Ramzan Ke Roze
Rakhna.(Bukhari & Muslim)
9.La Ilaha Illallah Ka Kya Ma’na (Meaning) Hai?
Ans: La Ilaha Illallah Ka Ma’na (Meaning) Allah
Tala ke Siwa Koyi Bi Haqeeqi Aur Saccha
Ma’bood Nahi.
10.La Ilaha Illallah Ke Kya Shara’aith Hain?
Ans: La Ilaha Illallah Ki 7 Sharthey Hain.
1) Ilm: Is Baath ka Ilm Ho Ke Allah Ta’la Hi
Haqeeqi Ma’bood Hai, Allah Ta’la Ke Siwa
10 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

Koyi Ibadath Ka Mustaheeq Nahi.


Daleel: So Aye Nabi (‫ )ﷺ‬Aap Acchi Tarah Jaan
Ley Ke Allah Ke Siwa Koyi Saccha Ma’bood
Nahi Aur Apne Gunaho Ki Bakhshish Maanga
Kare Moomin Mardo Aur Moomin Aouratho Ke
Haq Me Bi.(Surah Muhammad:19)
2) Sidq (Sacchayi): Banda Kalimah La Ilaha
Illallah Sacche Dil Se Kahe, Kalimah
Towheed Ada Karte Waqth Dil Bi Zubaan
Ke Saath Ho.
Daleel: Nabi (‫ )ﷺ‬Ne Farmaya Ke Jo Shakhs
Sacche Dil Se Is Baath Ki Gawahi Dey De Ke
Allah Ke Siwa Koyi Ma’bood E Haqeeqi Nahi
Hai Aur Muhammed (‫ )ﷺ‬Allah Ke Sacche Rasool
Hai Allah Us Par Dozak Ki Aag Ko Haraam Kar
Deta Hai.(Bukhari & Muslim)
3) Inqiyaad (Ita’ath wa Farmabardari): Jo
Banda Kalim E Thoyyiba Padta Hai Tho Us
Par Zaruri Hota Hai Ke Wo Allah Ta’la Ki
Shari’ath Ki Pabandi Kare Allah Ke Ahkaam
Ko Maane Aur Khud Ko Allah Ta’la Ke
Hawale Kar Dey.
Daleel: Tum Sub Apne Rab Ki Taraf Juk Pado
Aur Us Ke Hukm Bardari Kiye Jawo.(Surah Az-
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 11

Zumar:54)
4) Qabool: Banda Kalim E Thouyyiba La
Ilaha Illallah Ko Dilo Jaan Se Qabool Kare
Aur Zubaani Taur Par Bi Usse Apnaye.
Daleel: Ye Wo Log Hai Ke Jab Un Se Kaha jata
Hai Ke Allah Ke Siwa Koyi Saccha Ma’bood
Nahi (La Ilaha Illallah) Tho Ye Sarkashi Karte
the Ke Kya Hum Apne Ma’boodo Ko Ek
Diwaane Shayar Ki Baath Par Chod Dey.(Surah
Saaffath:35-36)
5) Mahabbat: Kalim E Thoyyiba La Ilaha
Illallah Padne Wala Banda Allah (Towheed)
Se Aur Us Ke Rasool (‫ )ﷺ‬Se Aur Musalmano
Se Muhabbath Kare Isi Tarah Kalim E
Thoyyiba Ki Mukhalifath Karne Walo Jaise
Shirk, Kufr, Bid’ath Aur Guna Karne Walo
Se Bugz Rakhe. Daleel: Baz Log Aise Bi Hai
Jo Allah Ke Shareek Aouro Ko Tehraa Kar In
Se Aisi Mahabbath Rak the Hai Jaisi
Muhabbath Allah Se Honi Chahiye Aur
Emaan Wale Allah Ki Muhabbath Me Bahut
Sakht Hote Hai.(Surah Al-Baqarah:165)
6) Ikhlaas: Wo Ye Hai Ke Banda Apne Tamam
Aamal Ko Zahiri wa Bathini Shirk Se Paak
12 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

Wa Saaf Rakhe Aur Ibadatho Me Apni


Niyyath Ko Sirf Ek Allah Ke Liye Khalis
Kar Ley.
Daleel: Ine Is Ke Siwa Koyi Hukum Nahi Diya
Gaya Ke wo Sirf Allah Ki Ibadath Kare Aur Usi
Ke Liye Deen Ko Khalis Rakhe.(Surah Bayyinah:
05)
7) Yaqeen: Banda Kalim E Thoyyiba La Ilaha
Illallah Ko Pure Yaqeen Ke Saath Ada Kare
Aur Us Dil Me Zara Barabar Bi Shak Wa
Shuba na Ho.
Daleel: Moomin Tho Wo Hai Jo Allah Par Aur
Us ke Rasool Par Pakka Emaan Laye Pir Shak
Wa Shuba Na Kare Aur Apne Maalo Se Aur
Apni Jano Se Jihad Karte Rahe Yahi Sacche Aur
Rastgo Hai.(Surah Hujurat:15)
11.Muhammed (‫ )ﷺ‬Ki Gawahi Ka Kya Matlab
Hai?
Ans: Banda Dil se is Baat Ki Tasdeeq Kare Ke
Muhammed (‫ )ﷺ‬Allah Ke Bande Aur Us Ke
Rasool Hai. Allah Ta’la Ne Une Puri Insaniyath
Ki Rehnumayi Ke Liye Beja Aur Aap Hi Par
Risalath Ke Silsile Ko Khatam Kiya (Aap
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 13

Aakhari Rasool Hai Aap Ke Baad Koyi Rasool


Aane Wala Nahi Hai).
Is Gawahi ka Taqaza Ye Hai Ke:
 Nabi (‫ )ﷺ‬Ne Hame Jo Bi Khabar Di Hai Ise
Sacch Maane.
 Nabi (‫ )ﷺ‬Ne Hame Jin Chizo Ka Hukum
diya Hai Us Par Amal Kare.
 Nabi (‫ )ﷺ‬Hame Jin Chizo Se Mana Kiya
Hai Usse Ruk Jaye.
 Aur Allah Ta’la Ki Waisi Hi Ibadath Kare
Jaisa Ke Nabi E Kareem (‫ )ﷺ‬Ne Hame
Bataya Hai.
12.Emaan Kise Kahte Hain?
Ans: Dil Se Maan Ne, Zubaan Se Iqrar Karne,
Aur Aaza Wa Jaware Se Amal Karne Ko Kahte
Hai, Emaan Allah Ta’la Ki Ita’ath Se Bhadta hai
Aur Na Farmani Se Ghadta hai.
13.Emaan Ke kitne Arkaan Hain?
Ans: Emaan Ke 6 Arkaan Hain:
o Allah Par Emaan lana
o Allah Ke Farishto Par Emaan Lana
o Allah Ki Kitabo Par Emaan Lana
14 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

o Allah Ke Rasoolo Par Emaan Lana


o Aakhirath Par Emaan Lana
o Acchi Aur Buri Taqdeeer Par Emaan Lana.
Daleel: Hadees E Jibrael Me Nabi E Kareem (‫)ﷺ‬
Ka Irshad Hai: Jibreal Alai Salam Ne Kaha: Muje
emaan Ke Baare Me Bataye. Nabi E Kareem (‫)ﷺ‬
Ne Farmaya: Ke Tum Allah Aur Us Ke Farisho
Par Aur Us Ki Kitabo Par Aur Us Ke Rasoolo Par
Aur Aakhirath Ke Din Par Aur Acchi Aur Buri
Taqdeer Par Emaan Lawo.(Bukari & Muslim)
14.Allah Par Emaan Lana Kise Kahte Hain?
Ans: Banda Is Baat Ki Pakki Tasdeeq Kare Ke
Allah Ta’la Apni Rububiyath, Uloohiyath Aur
Asma wa Sifaath Me Akela Hai.
15.Towheed E Rububiyath Kise Kahte Hain?
Ans: Allah Ta’la Ko Kayinaat Ke Paida Karne
Me, Maalik Hone Mein, Aur Us Ke Nizaam ko
Ba- Husn wa Khubi Chalaane Me Akhela
Maanna. Yani Allah Ta’la Ke Siwa Koyi Khaliq
Nahi Koyi maalik Nahi Aur Na Koyi Mudabbir
Hai. (Kayinaat Ke Nizaam ko Ba Husn wa Khubi
Chalane wala)
Daleel:Allah Har Cheez Ka Paida Karne Wala
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 15

Hai Aur Wahi Har Cheez Ka Negebaan


Hai.(Surah Az-Zumar: 62)
Wo Aasman Se Lekar Zameen Tak (Har) Kaam
Ki Tadbeer Karta Hai, Pir Wo Kaam Ek Aise Din
Me Is Ki Taraf Chad Jata Hai Jis Ka Andaza
Tumari Ginti Ke Ek Hazar Saal Ke Barabar Hota
hai.(Surah As-Sajda: 05)
16.Towheed E Uloohiyath Kise Kahte Hain?
Ans: Allah Ta’la Ko Zaahiri wa Bathini Ibadatho
Me Akhela Jaan Na.
1. Zaahiri Ibadath Ki Misaal: Sajda, Namaz
Wagaira.
2. Bathini Ibadath Ki Misaal: Khouf,
Muhabbath Wagaira.
Daleel: Hum Ne Har ummath Me rasool Beja Ke
log Sirf Allah Ki Ibadath Kare Aur Us Ke Siwa
Tamaam Ma’boodo Se Bache.(Surah An-Nahl
:36)
17.Towheed E Asma O Sifaat Kise kahte Hain?
Ans: Allah Ta’la Ke Pyare Namo Aur Buland
Sifaath Ko (Jo Kitab O Sunnath Se Sabith Hai)
Unhe Sirf Ek Allah Ke Liye Sabith Karna, Begair
16 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

Kisi Takeef Ke (Allah Ke Asma O Sifaath Ki


Kaifiyath Ko Bayan Na Karna), Begair Kisi
Ta’teel Ke (Allah Ke Asma O Sifaath Ka Inkar
Nahi Karna), Begair Kisi Tahreef Ke (Allah Ke
Asma O Sifaath Me Tabdeeli Nahi Karna).
Daleel: “Is Jaisi Koyi Cheez Nahi Aur Wo Sunne
Wala Aur Dekhne Wala Hai.(Surah Ash-Shura:
11)
18.Asma E Husna Ki Chand Misaley Kya Hain?
Ans: Allah Ta’la Ke Pyaare Namo Ki Chand
Misaley Ye Hain:
 Al ‘Aleem: Tamam Chizo Ka Jaane Wala
Hai.
 Al Hakeem: Badi Hikmath Wala.
 Al Malik: Haqeeqi Badasha
 Al Quddoos: Nihayath Pak
 As Salam: Salamati Wala
 Al Baseer: Dekhne Wala
 As Sa’mi: Sunne Wala viii)Ar Rab: Palne
wala
 Al Hayy: Hamesha Zinda Rahne Wala
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 17

 Al Qadeer: Har Chiz Par Qudrath Rakhne


Wala.
Daleel: Surah Hashr ki Aayat 23.
19.Allah Ta’la Ke Buland Sifath Ki Chand
Misaley Kya Hain?
Ans: Allah Ta’la Ke Buland Sifath Ki Chand
Misaley Ye Hain:
i) Allah Ta’la Ne Haqeeqi Thour Par Kalam
(Baath) Kiya Hai Aur Is Ka Kalam
Makhlooq (Creature) Nahi Hai. Is Ke
Kalam Ki Misaal Quran Majeed Hai.
Daleel: “Aur Moosa (AS) Se Allah Ta’la Ne Saaf
Thour Par Kalam Kiya”.(Surah An-Nisa: 164)
ii) Allah Ta’la Arsh Par Mustavi (Buland) Hai.
Daleel: Rehman Arsh Par Mustavi (Buland) Hai.
iii) Isi Tarah Allah Ta’la Khush Hota Hai.
iv) Allah Ta’la Gussa Hota Hai.
v) Allah Ta’la Mohabbath Karta Hai.
vi) Allah Naraaz Hota Hai.
In Ki Be Shumar Daleeley Kitabo Sunnath Me
Moujood Hai.(Surah Taha: 05)
18 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

20.Shirk Kise Kehte Hain?


Ans: Allah Ke Siwa Kisi Aur Ki Ibadath Karna
(Ya Ibadath Me Allah Ke Saath Kisi Aur Ko
Shareek Karna).
Daleel: “Aur Apne Rabb Ki Ibadath Me Kisi Ko
Bi Shareek Na Kare.”(Surah Kahaf: 110)
21.Shirk Ki Kitni Qismey Hain?
Ans: Shirk Ki 2 Qismey Hain:
1) Shirk E Akbar: Kisi Bi Ibadath ko Allah
Ta’la Ke Siwa Gairo Ke liye Anjaam Dena,
Jo Banda Begair Touba ke Shirk E Akbar
Par Mar Jaye Tho Wo Hamesha – Hamesha
Ke Liye Jahannum Me Rahega.
Daleel: Yaqeenan Allah Ta’la Apne Saath
Shareek Kiye Jane ko Nahi Bakhshta Aur Us Ke
Siwa Jise Chahe Bakash Deta Hai Aur Jo Allah
Ta’la Ke Saath Shareek Muqarrar Kare Us Ne
Bahuth Bada Guna Aur Buhtan Bandha.(Surah
Nisa: 48)
2) Shirk E Asghar: Har Wo Cheez Jo Shirk E
Akbar Tak Pahunchne Ka Sabab Aur Us
Me Mubtila Hone Ka Zarya Bane, Ye
Kabeera Guna Se Bi Bada Guna hai. Lekin
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 19

Is Ka Murtakib Hamesha Ke Liye Jahannum


Me Nahi Rahega.
Daleel: Abu Sayeed Khudri (RA) Se Riwayath
Hai Ke Allah Ke Rasool (‫ )ﷺ‬Ne Farmaya: Kya
Mai Tume Wo Na Batawu Jis Ka Muje Tum Par
Maseeh Dajjal Se Bi Ziyada Darr Hai? Wo Shirk
E Khafi Hai (Chupa Huwa Shirk) Ke Banda
Namaz Ke Liye Khada Ho Jata Hai Pir Kisi Ke
Dekhne Ki Waja Apni Namaz Ko Muzayyan
Karne Lagta Hai. (Ibne Majah)
22.Shirk E Akbar ki Chand Misaaley Kya Hain?
Ans: Shirk E Akbar Ki Chand Misaaley Ye Hain:
i) Allah Ke Ilawa Kisi Aur Se Dua Karna.
ii) Allah Ke Siwa Kisi Aur Se Un Chizo Me
Madad Talab karna Jin Me Allah Ke Siwa
Koyi Aur Madad Nahi Kar Sakta.
iii) Allah Ke Siwa Kisi Aur Ko Muhabbath
Aur Khouf Me Allah Ke Barabar Karna.
iv) Allah Ke Siwa Kisi Aur Ke Naam Par
Janwar Zaba Karna Ta ke Us ki Qurbath
Hasil Ho Jaye.
v) Allah Ke Siwa Kisi Aur Ke liye Sadja
Karna.
20 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

vi) Kaba Ko Chod kar Kisi Aur Chiz Ka


Tawwaf Karna Ta Ke Us Ki Qurbath Hasil
Ho Jaye.
23.Shirk E Asgar Ki Chand Misaaley Pesh Karen?
Ans: Shirk E Asgar Ki Chand Misaaley Ye Hain:
i) Riyakari (Dikhawa) Thodi Hi Kiyu Na Ho.
ii) Allah Ke Siwa Kisi Aur Ki Qasam Khana,
Jaisae Nabi (‫ )ﷺ‬Ki Qasam, Maa Ki Sar Ki
Qasam.
iii) Bandhe Ka Is Tarah Kahna Ke Allah Aur
Aap Chaahe tho Ye Hoga.
iv) Taweez Is Aqeedey Se Latkana Ta Ke un Ke
Zarye Takleefey, Musibathey, Mushkilaath
Wa Pareshaniya Door Ho Jaye.
24.Nabi (SWA) Ne Mushriko Se Kiyu Jumg Ki
Aur Kyu Un Ki Takfeer Ki Jab Ke Wo Towheed
E Rububiyath Ka Iqrar Karte The?
Ans: Kyu Ke Sirf Towheed e rububiyath Ka Iqrar
bande Ke Islam Me Dakhil Hone ke liye Kaafi
Nahi Hai Yaha Tak Ke Wo Toweed e Uloohiyath
Wa Towheed e Asma O Sifaath ka Bi Iqrar Kar
ley Aur Har Qism Ki Ibadath Ko Sirf Ek Allah
Ke liye Khalis Kare.
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 21

Daleel: “Aap Kahye Ke Wo Koun Hai Jo Tum


Ko Asmaan Aur Zameen Se Rizq Pahuncha tha
Hai Ya Wo Koun Hai Jo Kaano Aur aankho Par
Pura Ikhtiyar Rakh tha Hai Aur Wo Koun Hai Jo
Zinde Ko Murdey Se Nikaalta Hai Aur Murdey
Ko Zindey Se Nikaalta Hai Aur Wo Koun Hai Jo
Tamaam Kamo ki Tadbeer Karta Hai Zaroor Wo
Yahi Kahenge, Ke Allah. Tho Un Se kahe Ke Pir
Kyu Nahi Darte.(Surah Yunus: 31)
25.Bid’ath Kise Kahte Hain?
Ans: Deen Me Har Nayi Chiz Ke Ijaad Karne Ko
Bid’ath kahte Hai. Aisi Nayi Cheez Jis Par Na
Nabi (‫ )ﷺ‬The Aur Na Aap Ke Sahaba Kraam
Rizwanullahi Anhum Ajmayeen Aur Na Tab’ayeen
Izaam.
Daleel: Nabi (‫ )ﷺ‬Ne Farmaya: Deen Me Har
Nayi Cheez Bid’ath Hai Aur Har Bid’ath
Gumrahi Hai.(Sunan Abi Dawood)
26.Farishto Par Emaan Lane Ka Kya Matlab
Hai?
Ans: Farishto Par Emaan Lane Ka Matlab Ye Hai
Ke Hum Is Baat Ka Pakka Aqeeda Rakhe Ke
Farishtey Moujood Hai. Aur Wo Noor Se Paida
kiye Gaye Hai, In ke Zimme Bhuth Saare Kaam
22 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

Hai Aur Un Ki Apni Sifaat Hai Aur Un Ki


Tadaad Be-Shumaar Hai. In Me Se Kuch Ko
Hum Jaante Hai Aur Bahut So Ko Hum Nahi
Jante Hai.
27.Rasoolon Par Emaan Laane Ka Kya Matlab
Hai?
Ans: Rasoolon Par Emaan Laane Ka Matlab Ye
Hai Ke Hum Is Baat Ka Pakka Aqeeda Rakhe Ke
Allah Ta’la Ne Bahut Saare Rasool Bheje Jo
Insaan the. In Par Wahi Nazil ki Aur Mou’jizaat
Ke Zarye Un Ki Taayeed Ki Ta Ke Log Hidayath
Pa Jaye, In Tamam Rasoolo Ne Us Ek Allah Ki
Ibadath Ki Dawath di Jis Ka Koyi Shareek Nahi.
Daleel: “Hum Ne Har Ummath Me Rasool Bheja
Ke Logou! Sirf Allah Ki Ibadath Karo Aur Us Ke
Siwa Maboodo Se Bacho.”(Surah An-Nahl :36)
28.Ulool Azm (A’ali Himmath Wale) Rasool
Koun Hain?
Ans: Ulool Azm (A’ali Himmath Wale) Rasool
Ye Hain:
 Nooh ‫ڠ‬
 Ibraheem ‫ڠ‬
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 23

 Moosa ‫ڠ‬
 Esa ‫ڠ‬
 Muhammed ‫ﷺ‬
Daleel: “Aye Paigambar! Tum Aise Sabar Karo
Jaisa Ulool Azm Rasoolo Ne Kiya Aur Un Ke
Liye Azaab Talab Karne Me Jaldi Na
Karo.(Surah Ahqaaf: 35)
29.Kitabo Par Emaan Lane Ka Matlab Kya
Hai?
Ans: Kitabo Par Emaan Lane Ka Matlab Ye Hai
Ke Hum Is Baat Ka Pakka Aqeeda Rakhe Ke
Allah Ne Apne Rasoolo Par Bahuth Saari Kitabe
Nazil Kiye Jo Haqeeqi Thour Par Allah Tala Ka
Kalam Hai. Jin Me Hidayath wa Noor Hai Aur In
Me sub Se Aakhari Kitab Quran E Majeed Hai,
Jis Ke Zarye Allah Ta’la Ne Pichli Saari Nazil
Shuda Kitabo Ko Mansooq Kar Diya.
Daleel: “Rasool Emaan Laye Is Cheez Par Jo Un
Ki Taraf Allah Ta’la Ki Janib Se Nazil Huwa Aur
Mumin Bi Emaan Laye Allah Ta’la Par, Aur Us
Ke Farishto Par, Aur Us ki Kitabo Par, Aur Us
Ke Rasoolo Par.”(Surah Baqarah: 285)
24 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

30.Aakhirath ke Din Par Emaan Lane Ka Kya


Matlab Hai?
Ans: Aakhirath Ke Din Par Emaan Lane Ka
Matlab Ye Hai Ke Hum Marne Ke Baad Hone
Wale Ahwaal Par Pakka Emaan Laye, Qabar Ke
Azaab Aur Nematho Par Emaan Laye, Qiyamath
Ke Din Par Emaan Laye, Jis Me Qabar Se Utna
Hai, Maidaan e Mehshar Me Jama Hona Hai, Jis
Me Taraazu Rakhe Jayenge, Naam E Amaal Diye
Jayenge, Acche Bure Kamo Ka Badla Diya
Jayega, Jis Me Shafa’ath Hogi, Houz E kousar
Hoga, Pul (Siraat) Hoga, Is Tarah Hum Jannath
Aur Us Ki Nematho Par Aur Jannath Me allah Ke
Didaar (Allah Ko dekhna) Par Pakka Emaan
Laye, Isi Tarah Jahannum aur Us Ke Azaab Par
Bi Emaan Laye.
31.Taqdeer Par Emaan Lane Ka Kya Matlab
Hai?
Ans: Taqdeer Par Emaan Lane Ka Matlab Ye Hai
Ke Hum Is Baat Par Pakka aqeeda Rakhe Ke
Allah Ta’la Har Cheez Ka Janne Wala Hai, Allah
Ta’la Ne Tamaam Cheezo Ko Loh E Mehfooz
Me Likh Rakha Hai, Phir Allah Ta’la Ne Chaha
Ke Wo Cheeze Wajood Me Aaye Tho Une Paida
Kiya, Koyi Bi Cheez Allah Ta’la Ke Qaza Wa
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 25

Qadr (Alla Ki Taqdeer Aur Faisala) Se Bahar


Nahi Hai.
32.Ehsaan Kise Kahte Hain?
Ans: Ehsaan Ye Hai Ke Aap Allah Ta’la Ki Aisi
Ibadath kare Jaisa Ke Aap Isse Dekh Rahe Hai.
Agar Aap Isse Nahi Dekh sakte To Wo Aap Ko
Dekh Raha Hai.(Bukhari & Muslim)
33.Sahaba Kiraam Ka Hum Par Kya Haq Hai?
Ans: Sahaba Kram Ka Hum Par Ye Haq Hai Ke
Hum Un Ki Fazilath ko Maane, Un Se Muhabbath
Kare, Un Ke Liye Duaye Kare, Un Ke Uswa Ko
Apnaye, Hum Une gaali Na dey, Aur Na Un ko
Gaali Dene Walo Se Muhabbath Kare.
Daleel: Abu Huraira (RA) Se Riwayath Hai Ke
Allah Ke Rasool (‫ )ﷺ‬Ne Farmaya: Tum Mere
Sahaba Ko Gaali Math Dho, Tum Mere Sahaba
Ko gaali Math Dho, Us Zaat Ki Qasam Jis Ke
Haat Me Meri Jaan Hai , Agar Tum Me Se Koyi
shakhs Uhood Pahad Ke Jitna Sona (Gold) Bi
Kharch Kare tho wo Mere Sahaba kraam Me Se
Kisi Ek Ke Diye Huwe Mud Balke Us Ke Aadhe
Ke Barabar Bi Ajr Nahi Pa Sakta.(Bukhari &
Muslim)
26 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

34.Sahaba Kiraam Me Sub Se Afzal Koun Hain?


Ans: Sahaba Kiraam Me Sub Se Afzal ye Hain:
o Sayyadna Abu Bakar (R.A)
o Sayyadna Umar Farooq (R.A)
o Sayyadna Usman Zunnoorain (R.A)
o Sayyadna Ali Bin Abi Talib (R.A).
o Ashrah Mubasshirah (Wo Ye Hai):
o Sayyadna Abu Bakar (R.A)
o Sayyadna Umar Farooq (R.A)
o Sayyadna Usman Zunnoorain (R.A)
o Sayyadna Ali Bin Abi Talib (R.A)
o Sayyadna Talha Bin Ubaidullah (R.A)
o Sayyadna Zuber Bin Awwam (R.A)
o Sayyadna Abdur Rehman Bin Aouf (R.A)
o Sayyadna Sa’ad Bin Abi Wakkas (R.A)
o Sayyadna Abu Ubaida Bin Jarrah (R.A)
o Sayyadna Sayeed Bin Zaid (R.A)
o Muhajireen
o Ansar
MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH 27

o Ahle Badr
o Ahle Uhood
o Ahle Bai’ath E Rizwan
o Phir Baaqi Tamam Sahaba Kraam
(Rizwanullahi Anhum Ajmayeen)
Note:Sahabi ki ta’reef: Sahabi Har Us Shakhs
Ko Kahte Hai Jo Nabi Kareem (‫ )ﷺ‬Se Emaan Ki
Halath Me Mila Ho, Aur Emaan Ki Halath Me
Uski Mouth Huwi Ho.
35.Musalman Hukmarano Ke Talluq Se Hamari
Kya Zimmedari Hai?
Ans: Musalman Hukmarano (Ruler) Ke Talluq
Se Hamari Zimmedari Ye Hai Ke Hum Unka
Ahtiraam Kare, Acche Kamo Me Un Ki Baath
sune, Aur Ita’ath, Musalmano Ki Jamath Se Jude
Rahe, Aur Hukmarano Ko Sirri (Tanhayi) Thour
Par Nasihath Karte Rahe.
36.Ahe Sunnath Wal Jamath Koun hain?
Ans: Ahle Sunnath Wal Jamath Firq E Najiya
Hai (Qiyamath Ke Din Najaath Pane Wala Firqa)
Jino Ne Nabi Kareem (S.W.A) Ki Sunnatho Ko
Zahiri Aur Batini Thour Par Mazboothi Se
Thame Rakha, Aur Musalmano Ki Jamath Se
28 MUSALMAN BACCHE KA AQEEDAH

Jude Rahe, Aur Ahle Sunnath Wal Jamath Ke


Mukhalif Firqou Se Bara’ath Ka Izhaar Kiya Aur
Un Se Door Rahe.

qqq
Al-Balagh Arabic Academy,
Mangalore

You might also like